Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Friday 25 May 2012

Tulu-e-islam

Po@t sir Dr Allama Iqbal
Book Bang-e-Dra
TANHA_KHAKI
<...>Tulu-e-islam<...>
'*'
Deleel-e-subah-e-roshan hy sitaron ki tunak tabi...!<
'*'
Ufaq se aftab gay dour-e-garan khawabi...!<
'*'
Urooq-e-murdaay mashriq mein khoon-e-zindagi dora...!<
'*'
Samajh sakte nahin is raaz ko seena-o-farabi...!<
'*'
Musalman ko musalman kar diya tofan-e-maghrib ne...!<
'*'
Talatum haye darya hi se hy gohar ki seerabi...!<
'*'
Atta momin ko phir dargah-e-haq se hone wale hy...!<
'*'
Shikon-e-turkamani zehan-e-hindi nutq-e-arabi...!<
'*'
Asar kuch khawab ka ghunchon mein baqi hy to ae bulbul...!<
'*'
Nawa ra talkh tar mee zan choo zauq-e-magma kmyabi...!<
'*'
Tarap sehan-e-chaman mein ashiyan mein shakhsaron mein...!<
'*'
Juda pare se ho sakti nahin taqdeer-e-seemabi...!<
'*'
Wo chashm-e-paak been Q zeenat-e-bargistawan-dekhe...!<
'*'
Nazar ati hy jis ko mard-e-ghazi ki jigar tabi...!<
'*'
Zameer-e-lala main roshan charage-e-arzoo kar de...!<
'*'
Chaman k zarre zarre ko shaheed-e-justujoo kar de...!<
'*'
Sar shak-e-chashm-e-muslim mein ny neesan ka asar paida...!<
'*'
Khalil'ALLAH (A.S) K darya mein hon ge phir guhar paida...!<
'*'
Kitab-e-millat-e-baiza ki phir sheeraza bandi hy...!<
'*'
Ye shakh-e-hashmi karne ko hy phir barg-e-paida...!<
'*'
Rubood aan turk sheerazi dil-e-tabraiz-o-kabil ra...!<
'*'
Saba karti hy buay gul se apna hamsafar paida...!<
'*'
Agar us maniyon par koh-e-gham toota to kya gham hy...!<
'*'
K khoon-e-sad hazar anjum se hoti hy sahar paida...!<
'*'
Jahan baani se hy dushwar tar kar-e-jahan beeni...!<
'*'
Jigar khoon ho to ho chashm-e-dil main hoti hy nazar paida...!<
'*'
Hazaron saal nargis apni benoori pe roti hy...!<
'*'
Bari mushkil se hota hy chaman main didahwar paida...!<
'*'
Nawa pera ho ae bulbul k ho tera taranum se...!<
'*'
Kabutar ki tan-e-nazuk mein shaheen ka jigar paida...!<
'*'
Tere seene mein hy poshida raaz-e-zendagi keh de...!<
'*'
Musalman se hadees-e-soz-o-saaz-e-zindagi keh de...!<
'*'
Khudaay iam yazil ka dast-e-qudrat tu zuban tu hy...!<
'*'
Yaqeen paida kar ae ghafil k maghloob-e-guman tu hy...!<
'*'
Pare hy charakh-e-neeli faam se manzil musalman ki...!<
'*'
Sitare jis ki gard-e-rah hon wo karwan tu hy...!<
'*'
Makan fani, makeen ani, azal tera, abad tera...!<
'*'
Khuda ka akhiri pegham hy tu javidan tu hy...!<
'*'
Hina band-e-uroos-e-lala hy khoon-e-jigar tera...!<
'*'
Teri nisbat baraheemi hy mamaar-e-jahan tu hy...!<
'*'
Teri fitrat ameen hy mumkanat-e-zindagani ki...!<
'*'
Jahan ki johar-e-muzmar ka goya imtihan tu hy...!<
'*'
Jahan-e-aab-o-gil se alam-e-javed ki khatir...!<
'*'
Nabuwat sath jis ko le gyi wo armgahan tu hy..!<
'*'
Ye nukta sargazhat-e-millat-e-baiza se hy paida..!<
'*'
K aqwam-e-zameen-e-asia ka pasban tu hy..!<
'*'
Sabaq phir arh sadaqat ka, adalat ka, shujaat ka...!<
'*'
Liya jaye ga tujh se kaam dunya ki imamat ka...!<
'*'
Yehi maqsood-e-fitrat hy, yehi ramz-e-muslamani..!<
'*'
Akhuwat ki jahangeri, mohabat ki farawani..!<
'*'
Butan-e-rang-o-Khun ko torh kar millat mein gum ho ja..!<
'*'
Na turani rahe baqi, na irani na afghani..!<
'*'
Miyan-e-shakhsaran sohbat-e-murgh-e-chaman kab talak..!<
'*'
Tere bazu mein hy parwaz-e-shahin-e-kehsatani..!<
'*'
Guman abad-e-hasti mein yaqen mard-e-musalman ka..!<
'*'
Byaban ki shab-e- tarik mein qindel-e-rahbani..!<
'*'
Mitaya Qaisar-e-kasra K istabdad ko jis ne..!<
'*'
Wo kya tha, zor-e-Haider (R.A), Faqr-e-Bu Zar (R.A), Sidq-e-Salmani (R.A)..!<
'*'
Haway ahrar-e-millat jadah pema kis tajamul se...!<
'*'
Tamashayi shagaaf-e-dar se hain sadiyon ke zindan...!<
'*'
Sabat-e-zindagi aeeman-e-muhkan se hy dunya mein...!<
'*'
Kah almani se B paenda tar nikla hy toorani...!<
'*'
Jab is angaraay khaki main hota hy yaqeen paida...!<
'*'
To kar leta hy ye bal-o-par-e-rooh-ul-ameen paida...!<
'*'
Ghulami main na kaam ati hain shamsheerain na tadbeerain...!<
'*'
Jo ho zauq-e-yaqeen paida to kat jati hain zanjerain...!<
'*'
Koi andaza kar sakta hy us ke zor-e-bazu ka...!<
'*'
Nigah-e-mard-e-momin se badal jati hain taqderain...!<
'*'
Walayat padshahi ilm-e-ashiya ki jahangeri...!<
'*'
Ye sub kay hain faqat ek  nukta-e-aeeman ki tafseerain...!<
'*'
Barahemi nazar paida magar mushkil se hoti hy...!<
'*'
Hawas chup chup ke seenon mein bana leti hy tasweerain...!<
'*'
Tamez-e-banda-o-Aaqa fasad-e-admiyat hy..!<
'*'
Hazar ae cheerah dastan Sakht hain fitrat ki tazirain..!<
'*'
Haqiqat aik hy har shay ki khaki ho K noori ho..!<
'*'
Lahu khurshed ka tap k agar zarre ka dil cherain...!<
'*'
Yaqen mohkam,amal peham,mohabat fateh-e-alam..!<
'*'
Jahad-e-zindagani mein hain ye mardon ki shamsherain..!<
'*'
Cha bayad mard ra taba-e-bulanday,mashrab-e-nabay..!<
'*'
Dil-e-garme, nigah-e-pak benay, jaan-e-betabay...!<
'*'
Auqabi shan se jhapte the jo,bebaal-o-par nikle..!<
'*'
Sitare sham K khoon-e-shafaq mein doob kar nikle..!<
'*'
Huway madfoon-e-darya zair-e-darya tairne wale..!<
'*'
Tamanche mouj k khate the jo, ban kar guhar nikle..!<
'*'
Ghabar-ereh guzar hain, keemiya par naaz tha jin ko..!<
'*'
Jibeenain Khak par rakhte the jo ikser gar nikle..!<
'*'
Hamara naram ro qasid peyam-e-zindagi laya...!<
'*'
Khabar deti theen jin ko bijliyan wo be-khabar nikle...!<
'*'
Haram ruswa huwa peer-e-haram ki kam nigahi se...!<
'*'
Jawanan-e-tatari kis Qadar sahib-e-nazar nikle...!<
'*'
Zameen se nooriyan-e-asman parwaz kehte the...!<
'*'
Ye khaki zinda tar, paenda tar, tabinda tar nikle...!<
'*'
Jahan mein ahl-e-aeeman soorat-e-khursheed jeete hain...!<
'*'
Idhar doobe udhar nikle, udhar doobe idhar nikle...!<
'*'
Yaqeen afrad ka sarmaya-e-tameer-e-millat hy...!<
'*'
Yehi qawwat hy jo soorat gar-e-taqder-e-millat hy...!<
'*'
Tu raaz-e-kun fakan hy, apni ankhon par ayan ho ja...!<
'*'
Khudi ka razdan ho ja, Khuda ka tarjuman ho ja...!<
'*'
Hawas me kar diya tukre tukre nu-e-insan Ko...!<
'*'
Akhuwat ka byan ho ja, mohabbat ki zuban ho ja...!<
'*'

Ye hindi wo khurasani, ye afghani wo toorni...!<
'*'
Tu ae sharminda-e-sahil uchal kar be-karan ho ja...!<
'*'
Ghubar aludahay rang-o-nasb hain baal-o-par tere...!<
'*'
Tu ae murgh-e-hara! Urne se pehle par-fishan ho ja...!<
'*'
Khudi mein doob ja ghafil! Ye sir-e-zimdagani hy...!<
'*'
Miki kaq halqa-e-shaam-o-sahar se javidan ho ja...!<
'*'
Masaf-e-zindagi mein seerat-e-foulad paida kar...!<
'*'
Shabistan-e-mohabbat mein harair-o-parniyan ho ja...!<
'*'
Guzar ja ban K seel-e-tund ro kho-e-byaban se...!<
'*'
Gukistan rah mein aye to jooay naghma khawan ho ja...!<
'*'
Tere ilm-o-mohabbat ki nahin hy intaha koi...!<
'*'
Nahin hy tujh se barh kar saaz-e-fitrat mein nawa koi...!<
'*'
Abhi tak admi saya-e-zaboon-e-sheher yari hai...!<
'*'
Qayamat hy k insan nu-e-insan ka shikari hy...!<
'*'
Nazar ko kheerah karti hy chamak tagzeeb-e-hazir ki...!<
'*'
Ye sanae magar jhoote nagon ki rezakari hy...!<
'*'
Wo hikmat naz tha jis par khiradmandan-e-maghrib ko...!<
'*'
Hawas ke pjnaay khoonin mein jaegh-e-karzari hy...!<
'*'
Tadabur ki fasoon kari se mohkam ho nahin sakta...!<
'*'
Jahan mein jis tamaddan ki bina sarmaya dari hy...!<
'*'
Amal se zindagi banti hy jannat B, jahanum B...!<
'*'
Ye khaki apni fitrat mein na noori hy na naari hy...!<
'*'
Kharosh amoz-e-bulbul ho, girah ghunche ki wa kar de ...!<
'*'
K tu Is gulistan K waste baad-e-bahari hy...!<
'*'
Phir uthi asia K dil se chankari mohabbat i...!<
'*'
Zameen joulan geh-e-atlas Qabayan-e-tatari hy...!<
'*'
Baya paida kharedarst jaan-e-natowane ra...!<
'*'
Pas az muddat gudaz aftaad barma karwame ra...!<
'*'
Baya saqi nawaye murgh-e-zaar az shakhsar adam....!<
'*'
Bahar adam, nagar amad, nagar amad, qirar amad...!<
'*'
Kasheed abar-e-bahari khemah andar wai-o-sehra...!<
'*'
Sadaay absharan az faraz-e-kohsar amad...!<
'*'
Sarat Gardam To Ham Qanoon-E-Paisheen Saazdah Saqi...!<
'*'
K kheel-e-naghma pardazan qitar andar qitar amad...!<
'*'
Kanar az zahadan barger-o-bebakana saghar kash...!<
'*'
Pas az muddar azen shakh-e-kuhan bang-e-hazar amad...!<
'*'
Ba mushtaqan hades-e-Khawajah (S.A.W.)-e-badar-o-hunain awar...!<
'*'
Tasarraf haye pinhanash ba-chashm ashkar amad...!<
'*'
Dgar shakh-e-khalil (A.S.) az khoon-e-ma namnaak mee gardad...!<
'*'
Baba zaar-e-mohabbat naqad-e-maa kamil ayar amad...!<
'*'
Sir-e-khak shaheday barg haye lala mee pasham...!<
'*'
K khawinsh banihal-e-millat ma sazgar amad...!<
'*'
Baya ta gul bifasha-neeyam wa may dar saghar andazyam...!<
'*'
Falak ra saqaf bashagafiyam wa tarah-e-deegar andazyam...!<
'*'
~~>END<~~
KHAKI*G

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya