Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Wednesday 27 February 2013

Abr barsa na hawa taiz chali hy ab K BY MOHSIN

='="="="="="="='=
PO@T
MOHSIN NAQVI
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
Singar
Ghulam Ali
'*'
Abr barsa na hawa taiz chali hy ab K...!<
+
Kitni veraan teri yadon ki gali hy ab K...!<
+
Subha ki dhoop utar Aai mere balon mein...!<
+
Shab dhali hy K meri umar dhali hy ab K...!<
+
Sehan-e-gulshan ki hawa hy K Qaza ki dastak...!<
+
Kitni sehmi hui aik aik kali hy ab K...!<
+
Kia kahoon kitne bahano se bhulaya hy use...!<
+
Ye Qayamat bari mushkil se tali hy ab K...!<
+
Yan meri Aankh K kashkol mein Aansu chamka...!<
+
Yan andhrey mein koi shama jali hy ab K...!<
+
Kis ko fursat hy dhuwaan dekhne jaye *Mohsin*...!<
+
Jhonpari shaher se kuch door jali hy ab K...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Wed 27/02/13

Wednesday 13 February 2013

Abhi saaz saaz udaas hy

='="="="="="="='=
._.-._.SAWAL._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Abhi saaz saaz udaas hy...!<
+
Wohi gham mein doobi sadayen hain...!<
+
Wohi dard-e-hijr jamaal hy...!<
+
Wohi zulm-o-jabar hy maujzan...!<
+
Wohi bagiyana khayal hy...!<
+
Kisi naye safar ka guman nahi...!<
+
Abhi aks safr-e-khayal hy...!<
+
Abhi zindgi ka sawal hy...!<
+
Abhi maut hi ki dhamaal hy...!<
+
Abhi cheth'ron ki pukaar hy...!<
+
K ye jism B to figaar hy...!<
+
Abhi Aasmaan hy surkh surkh...!<
+
Abhi zulm ko B khumaar hy...!<
+
Kahin khoon-e-jism sehar huwa...!<
+
'*'
Kahin qatl-e-husn nazar huwa...!<
+
Kahin shaam shaam ghazab bani...!<
+
Kahin din B shab ki khabar huwa...!<
+
Kbi zulm itne sanvar gaye...!<
+
K tamaam rang bikhar gaye...!<
+
HuVe haad se kbi is trah...!<
+
K jism-o-jaan se guzar gaye...!<
+
Abhi lamha lamha firaaq hy...!<
+
Abhi rooh ishq mein choor hy...!<
+
Abhi khaar khaar hain raaste...!<
+
Abhi wasl Aankh se door hy...!<
+
Abhi shehr-e-dil hy dhuwan dhuwan...!<
+
Abhi Aankh mehv-e-talash hy...!<
+
Abhi reg reg hy zindgi...!<
+
Abhi saaz saaz udaas hy...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Thu14/02/13

Abhi Tum Beth Jao Na

='="="="="="="='=
._.-._.JAZBAT._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Abhi tum beth jao na__!<
+
Bohat si baat baqi hy__!<
+
Mere halaat baqi hain__!<
+
Abhi jazbaat baqi hain__!<
+
Suno!__!<
+
Tum Q satatey ho?__!<
+
Mujhe kitna rulate ho__!<
+
Mujhe tum se mohbbt hy__!<
+
Mujhe Q Aazmatey ho?__!<
+
Tumhi ko yad krtey hain__!<
+
Tumhi ko pyaar krtey hain__!<
+
Meri to zindgi tum ho__!<
+
Smajh tum Q na patey ho?__!<
+
Meri to har khushi tum se__!<
+
Meri to zindgi tum se__!<
+
Meri har arzu tum se__!<
+
Mujhe tum Q satatey ho?__!<
+
Mera dil trapta hy__!<
+
Na tum bin Kahin pe lgta hy__!<
+
Tmhare pas jana hy__!<
+
Yahi har pal ye khta hy__!<
+
To phir tum Q na Aate ho?__!<
+
Judai mein jlatey ho?__!<
+
Suno!__!<
+
Mein toot jaonga__!<
+
Judai seh na paon ga__!<
+
Ye dunya chor jaon ga__!<
+
Kbhi wapis na Aon ga__!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Thu 14/02/13

Tuesday 12 February 2013

Abhi na jao chor kar By Sahir Ludhiyanvi

='="="="="="="='=
PO@T
Sahir Ludhiyanvi
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Abhi na jao chor kar K abhi to dil bhara nahi...!<
+
Abhi abhi to aai ho,bahar ban K chai ho...!<
+
Hawa zara mehak to ly...!<
+
Nazar zara behak to le...!<
+
Ya sham dhal to ly zara...!<
+
K dil behal to lay zara...!<
+
Mein thori daar jee to lun...!<
+
Nashay K ghont pee to lun...!<
+
Abhi to kuch kaha nahi...!<
+
Abhi to kuch suna nahi...!<
+
Abhi na jao chor kar...!<
+
K dil abhi bhara nahi...!<
+
Sitare jhilmila uthe...!<
+
Charag jagmaga uthy...!<
+
Bas ab na mujh ko took'na...!<
+
Na bar K rah rokana...!<
+
Agar main ruk gai abhi...!<
+
To ja na paun gi kabi...!<
+
yahi kaho gy tum sada...!<
+
K dil abhi nahi bhara...!<
+
Jo khatam ho kisi jaga...!<
+
yeh asay silsaly nahin...!<
+
Abhi nahi,abhi nahi...!<
+
Nahin nahin nahin nahin...!<
+
'*'
Abhi na jao chor kar...!<
+
K dil abi bhara nahi...!<
+
Adhri aas chor K...!<
+
Aduri pyaas chor K...!<
+
Jo roz yun hi jao gay...!<
+
To kis tara nibhun gay?...!<
+
K zindagi ki raah mein...!<
+
Jawan dilon ki chaha mein...!<
+
Kayi maqam aaen gay...!<
+
Jo hum ko Aazamaa'yen gay...!<
+
Bura na mano baat ka...!<
+
Yeh pyar hy gila nahi...!<
+
Haan yehi kaho gay tum sada...!<
+
K dil abhi bhara nahi...!<
+
K dil abhi bhara nahi...!<
+
Dukh aur sukh k rasate...!<
+
Bane hy sab K wasate...!<
+
Jo gham se haar jao gay...!<
+
To kis tarha nibhao gay?...!<
+
Khusi mile hume k gham...!<
+
Jo hoga baant lengay hum...!<
+
Mujhe tum aazmaao to...!<
+
Zaraa nazar milao to...!<
+
Yeh jism do sahi magar...!<
+
'*'
Dilo main fasalay nain...!<
+
Jahaan mein aisa kon hy?...!<
+
K jis ko gham mila nahi...!<
+
Abi na jao choar kar...!<
+
K dil abhi bhara nahi...!<
+
Tumhare payar ki kasam...!<
+
Tumhare gham hy mara gham...!<
+
Na yun bujhe bujhe raho...!<
+
Jo dil ki baat hy kaho...!<
+
Jo mujh se be chupao gay...!<
+
To phir kisse batao gay?...!<
+
Main koi gair to nahi?...!<
+
Dilaaun kis tarha yaken?...!<
+
K tum se main judaa nahin...!<
+
Mujh se tum judaa nahi...!<
+
Abhi na jaao chor kar...!<
+
K dil abi bhara nahi...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Wed 13/02/13

Sunday 10 February 2013

(Nazm) Abhi zid na kar (Eid)

='="="="="="="='=
._.-.BE'KHABAR.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Abhi zid na kar dil-e-bekhabar__!<
+
K pas-hajum-e-sitam-e-garaan__!<
+
Abhi kon tujh se wafa kare?__!<
+
Abhi kis ko furstain hain is Qadar?__!<
+
K samait kar teri kirchiaan__!<
+
Tere haq main khud se dua kare__!<
+
Abhi zid na kar dil-e-bekhabar__!<
+
K tah-e-ghubaar-e-gham jahan__!<
+
Kahan kho gaye tere chara gar?__!<
+
K raah-e-hayaat main ra'aGaan__!<
+
Kahan so gaye tere hum safar?__!<
+
Abhi kuch na sun__!<
+
Abhi kuch na keh__!<
+
Abhi zid na kar mere be'nawa__!<
+
Kabhi yun B ho K sar-e-ufaq__!<
+
Tere dukh ka chand damak uthe__!<
+
Koi thais khud se chamak uthe__!<
+
Kisi sher zakham-e-farosh main__!<
+
Koi zakham khud se khareed kar__!<
+
Sabhi aks khud se khurach kabhi__!<
+
Kisi Aaene par na deed kar__!<
+
Kabhi yun B jashan-e-tarab mana__!<
+
Kabhi is tarah se B Eid kar__!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Mon 11/02/13

Abhi wo dard baqi hy

='="="="="="="='=
._.-._.Baki Hy._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Abhi wo dard baqi hy...!<
+
Agarchey waqt marhum hy...!<
+
Mager koch waqt lagta hy...!<
+
kisi ko bhool jane mein...!<
+
Dubara dil basane mein...!<
+
Abhi koch waqt lagna hy...!<
+
Abhi wo dard baqi hy...!<
+
Main kaise nayi ulfat mein...!<
+
Apni zaat ko gum kar doon...!<
+
K mere jism-o-wajdaan mein...!<
+
Abhi wo fard baqi hy...!<
+
Abhi us shakhs ki mujh per...!<
+
Nigah-e-sard baqi hy...!<
+
Abhi to ishq K raston ki...!<
+
Mujh per gard baqi hy...!<
+
Abhi wo dard baqi hy...!<
+
.+.+.Sach.+.+...!<
+
Abhi wo dard baqi hy...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Mon 11/02/13

Abhi waqt hy, abhi sans hy

='="="="="="="='=
._.*GumShuda*._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Abhi waqt hy, abhi sans hy, abhi loat aa mere gumshuda..!<
+
Mujhay naaz hy bare zabt ka, mujhay khoon rula mere gumshuda..!<
+
Ye nahi K tere firaaq mein, main ujar gaya ya bikhar gaya...!<
+
Han! muhabaton pe jo maan tha, wo nahi raha mere gumshuda...!<
+
Mujhay ilam hy K tu chand hy kisi aur ka, magr aik pal...!<
+
Mere Aasman-e-hayat pe zara jagmaga mere gumshuda...!<
+
Tere iltfaat ki barishein jo meri nahi to bata mujhay..!<
+
Tere dasht-e-chah mein kis liye mera dil jala mere gumshuda...!<
+
Ghane jangloon mein ghira hun main, bara ghup andhera hy char soo..!<
+
Koi ik chiragh to jal uthay, zara muskara, mere gumshuda..!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Mon 11/02/13

Abhi tum sa tha koi ru'br

='="="="="="="='=
._.-._.YAAD._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Abhi tum sa tha koi ru'bru, tumhe yad hum ne boht kiya...!<
+
Bari ras bhri thi wo guftgu, tumhe yad hum ne boht kiya...!<
+
Wohi mast ankhon ki mastiyan, wohi chand chehre ki chandni...!<
+
Wohi arz-e-hal tha hu'bahu, tumhe yad hum ne boht kiya...!<
+
Wohi hont the, wohi phool the, wohi be'misal udasiyan...!<
+
Wohi khawab tha wohi aarzu, tumhe yad hum ne boht kiya...!<
+
Wohi aarzu-e-wisal thi, jo jaan shbon ki misal thi...!<
+
Wohi dil'kshi wohi rng-o-bu, tumhe yad hum ne boht kiya...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
11/02/13

Saturday 9 February 2013

Ab yeh sochoon to By Mohsin Naqvi

='="="="="="="='=
PO@T
Mohsin Naqvi
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Ab yeh sochoon to bhanwar zahan mein par jate hain...!<
+
Kaise chehre hain jo milte hain bichar jate hain...!<
+
Q tere durd ko dien tuhmat-e-werani-e-dil?...!<
+
Zalzaloon mein to bhare shehar ujar jate hain...!<
+
Mousam-e-durd mein ik dil ko bachaun kaise?...!<
+
Aisi rut main to ghane perh B jhar jate hain...!<
+
Ab koi kya mere Qadmon K nishan dhondey ga...!<
+
Tez Aandhi main to khaimay B ukhar jate hain...!<
+
Soch ka Aaina dhundla ho to phir waqt K sath...!<
+
Chand chehroon K khad-o-khaal bigar jate hain...!<
+
Shidat-e-ghum mein B zinda hun to hairat kaisi?...!<
+
Kuch diye tund hawao'n se B lar jate hain...!<
+
Wo B kia log hain *Mohsin* jo wafa ki khatir...!<
+
Khud Tara'sheda asuloon pe B ur jate hain...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
12:00 pm
Sun 10/02/13

Friday 8 February 2013

Abhi tum ishq mat karna (nazam)

='="="="="="="='=
._.-._.NASEHAT._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Abhi tum ishq mat karna...!<
+
Abhi guriya se khelo tum...!<
+
Tumhari umar hi kya hy?...!<
+
Faqt satra'n baras ki ho...!<
+
Abhi masoom bachi ho...!<
+
Nahin malum abhi tum ko...!<
+
K jab yeh ishq hota hy...!<
+
To insan kitna rota hy...!<
+
Sitare toot jate hain...!<
+
Saharay choot jate hain...!<
+
Abhi tum ne nahin dekha...!<
+
K jab sathi bicharte hain...!<
+
To kitna dard milta hy...!<
+
K har furqat K mousam main...!<
+
Hazaron ghum ubharte hain...!<
+
Hazaron zakhm khulte hain...!<
+
Suno larki...!<
+
'*'Meri Mano'*'...!<
+
Parhai par tawajo do...!<
+
kitabon main gulabon ko...!<
+
Kabhi bhule se mat rakhna...!<
+
'*'
Kitabain jab B kholo gi...!<
+
Yeh kanton ki tarhan dil main...!<
+
Chubhain gay, khoon bahayen gay...!<
+
Tumhain pehron satayen ge...!<
+
Kisi ko khat nahin likhna...!<
+
Likhai pakri jati hy...!<
+
Bari ruswai hoti hy...!<
+
Kisi ko phone mat karna...!<
+
Sadayen dil dukhati hain...!<
+
Wo awazain satati hain...!<
+
Meri nazmain nahin parhna...!<
+
Yeh mehshar utha dein gi...!<
+
Tumhain pagal bana dein gi...!<
+
Suno larki...!<
+
'+'Meri Mano'+'...!<
+
Apni taqdir se tum
khul K mat larna...!<
+
Abhi guriya se khelo tum...!<
+
Abhi tum ishq mat karna...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
10:41pm,
Mon 06-02-2012

Abhi to raat baqi hy (song)

='="="="="="="='=
._.-._.*RAAT*._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
Singer
Mohammad Rafi
'*'
Abhi to raat baqi hy ye dhal jaye to soo jana...!<
+
Ghari bhar ko dil-e-nadan sambhal jaye to so jana...!<
+
Ye jalte hont aur ye neend mein doobi hui ankhein...!<
+
Zara tehro mujhe B neend Aa jaye to soo jana...!<
+
Haseen ho tum tumhein kya gham tumhein to neend pyari hy...!<
+
Hamara haal mat pucho K hum par raat bhari hy...!<
+
Hamare sar pe Qayamat hy ye tal jaye to so jana...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Sat 09/02/13

Abhi to door hein tum se, abi kiya surkh'ro hon gay

='="="="="="="='=
._.-.SURAKHRO.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Abhi to door hein tum se, abi kiya surkh'ro hon gay?...!<
+
Kren gay baat phir tum se, khbi jo ru'baru hon gay...!<
+
Sonehri sa'aton main Jab humra zikr chero gay...!<
+
Hum hi ko sath pao gay, hum hi char'soo hon gay...!<
+
Ye dunya gulistan ho jaye, sitare phool ban jayen...!<
+
Tumhri Aankho K guldste, humri Aarzo hon gay...!<
+
Ye dunya bhool jaye gi, zamana jab bhula de ga...!<
+
Teri yaadon K afsane, humri Aabro hon gay...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Sat 09/02/13

Abhi sanso'n ki Aa'ri chal rahi hy

='="="="="="="='=
._.-._.SAFAR._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Abhi sanso'n ki Aa'ri chal rahi hy...!<
+
Safar main hun ! Sawaari chal rahi hy...!<
+
Abhi Aaya nahin phoolon ka mosam...!<
+
Abhi to baraf'baari chal rahi hy...!<
+
Abhi saahil nahin Aaya hamara...!<
+
Abhi kashhti hamari chal rahi hy...!<
+
Kisi ki be'niyaazi K baraabar?...!<
+
Hamaari be'qarari chal rahi hy...!<
+
Abhi eil_e_khabar B be'khabar hy...!<
+
Abhi Raaz'daari chal rahi hy...!<
+
Hamari saadah'lohi K muqaabil...!<
+
kisi ki hosh'yaari chal rahi hy...!<
+
Abhi tak hy talaash-e-rizq jaari...!<
+
Abhi be'rozgari chal rahi hy...!<
+
Girift khaak main barg-o-Samar hain...!<
+
Hawaa ki sang'baari chal rahi hy...!<
+
Wohi saf'faak aur wehshe tamad'dan...!<
+
Wnhi Jaageer'daari chal rahi hy...!<
+
==>END<==
KHAKI.G

Abhi suraj nahi duba zara si sham hone do

='="="="="="="='=
._.-.*NAKAAM*.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Abhi suraj nahi duba zara si sham hone do...!<
+
Main khud hi lot jao ga mujhe nakaam hone do...!<
+
Mujhe badnaam karne K bahane dhondte ho Q?...!<
+
Main khud ho jaon ga Badnaam pehle naam hone do...!<
+
Abhi mujh ko nahi karna hy atraf-e-shikast...!<
+
Main sub tasleem kar lun ga ye charcha Aam hone do...!<
+
Meri hasti nahi anmol phir B bik nahi sakta...!<
+
Wafa'ein baich lena par zara nelaam hone do...!<
+
Naye Aaghaz mein hi hosla Q tor baithy ho?...!<
+
Jeet jao gay tum sub kuch, zara anjaam hone do...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Sat 09/02/13

Abhi na khol abhi thora hijaab rehne de

='="="="="="="='=
._.-._.HISAAB._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Abhi na khol abhi thora hijaab rehne de...!<
+
Kuch aur din mujhe yun hi kharab rehne de...!<
+
Ujar de mere dil ki tamam dharti ko...!<
+
Bus ik sheher mera sheher-e-khuwab rehne de...!<
+
Wohi howa na bicharne pe baat Aa pohchi...!<
+
Use kaha tha purane hisaab rehne de...!<
+
Meri hatheli pe likh de her ik nakami...!<
+
Mere Khuda tu use kamyab rehne de...!<
+
Warq warq na tu aise lakerain khinchta ja...!<
+
Kitab-e-umer main koi to baab rehne de...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Fari 08/02/13

Thursday 7 February 2013

Abhi kya kahein (Nazam)

='="="="="="="='=
._.-._.KHAAK._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Abhi kya kahein abhi kya sunein?...!<
+
K sar-e-faseel-e-sakut-e-jaan...!<
+
Kaf-e-roz-o-shabb pe sharur numa...!<
+
Wo jo harf harf charagh tha...!<
+
Ussey kis hawa ne bujha diya?...!<
+
Kabhi lab hilein gey tu puchna...!<
+
Sar-e-shehr-e-ehad-e-wisal-e-dil...!<
+
Wo jo nikkhaton ka hujum tha...!<
+
Usse dast-e-mauj-e-firaaq ne...!<
+
Tah-e-khaak kab se mila diya...!<
+
Kabhi gul khilien gey tu puchna...!<
+
Abhi kya kahein? abhi kya sunein?...!<
+
Yun hi khwahishun K fishar mein...!<
+
Kabhi be'sabub kabhi be'khalul...!<
+
Kahan Q kis se bicchar gaya?...!<
+
Kise kab kisi ne ganwa diya?...!<
+
Kabhi phir milein gey tu puchna...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Fri 08/02/13

Abhi kuch aur karishmy ghazal K daikhte hain By Faraz

='="="="="="="='=
PO@T
Ahmad Faraz
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Abhi kuch aur karishmy ghazal K daikhte hain...!<
+
*Faraz Aa zara lehja badal K daikhte hain...!<
+
Judaiyan to muqadar hain phir B jan-e-safar...!<
+
Kuch aur door zara sath chal K daikhte hain...!<
+
Raah-e-wafa mein hareef-e-khraam koi to ho...!<
+
Soo apne ap se Aagy nikal K daikhte hain...!<
+
Tu samne hy to phir Q yakeen nahi Aata?...!<
+
Ye bar bar jo Aankhon ko mal K daikhte hain...!<
+
Ye kon log hain mojud teri mehfil main...!<
+
Jo lalchon se tuje, mujh ko jal K daikhte hain...!<
+
Ye qurb kya hy K yakjan hoye na door rahe...!<
+
Hazaar aik hi qalib mein dhal K daikhte hain...!<
+
'*'
Na tujh ko maat hoi hy na mujh ko maat hoi hy...!<
+
So ab K dono hi chalain badal K daikhte hain...!<
+
Ye kon hy sar-e-sahil K dobne wale...!<
+
Samandron ki tehon se uchal K daikhte hain...!<
+
Abhi tlak to na kundan hoye na rakh hoye...!<
+
Hum apni Aag main har roz jal K daikhte hain...!<
+
Bohat dinon se nahi hy kuch us ki khair khabar...!<
+
Chalo *Faraz* ko, ae yar chal K daikhte hain...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Fri 08/02/13

Abhi kam ho mere mayaar se

='="="="="="="='=
._.-.*GAWAAR*.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Abhi kam ho mere mayaar se...!<
+
Mujhe keh gya baray pyaar se...!<
+
Ye shaistgi, ye manafiqat...!<
+
Magar hum to thehre gawaar se...!<
+
Ye rawaaj kya ye samaaj kya?...!<
+
Nikal Aa kabhi to hisaar se...!<
+
Jo hamare dil pe guzar gai...!<
+
Kabhi poch lena bahaar se...!<
+
Mere doston ko khushi mili...!<
+
Teri jeet se meri haar se...!<
+
Teri sadgi ka main kya kaho'n?...!<
+
Liya wada masht-e-gubaar se...!<
+
Tere khak'sar ko ye kya hua?...!<
+
Koi pouchta mere yaar se...!<
+
Main "*Sageer* ranj-o-alam mein hun...!<
+
Mujhe kandha de zara pyaar se...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Fir 08/02/13

Abhi is traf na nigah kar

='="="="="="="='=
._.-._.PALKEN._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Abhi is traf na nigah kar, main ghazal ki palken sanwar lun...!<
+
Mera lafz lafz ho Aaina, tujhe Aaine mein utar lun...!<
+
Main tmam din ka thka hua, tu tmam shab ka jaga hua...!<
+
Zara thehr ja isi mor par,tere sath shaam guzaar lun...!<
+
Agar Aasma'n ki numaishon me, mjhe B izn-e-Qayam ho...!<
+
To main motiyon ki dukaan se, teri baliyan, tery haar lun...!<
+
Kai ajnabi teri raah K, mere paas se yun guzar gye...!<
+
Jinhe dekh kar ye tarap hui, tera naam le kar pukar lun...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Thr 07/01/13

Wednesday 6 February 2013

Abhi wo dard baqi hy

='="="="="="="='=
._.-._.DARD._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Abhi wo dard baqi hy...!<
+
Agarche waqt marham hy...!<
+
Magar kuch waqt lagta hy...!<
+
Ksi ko bhool jaane mein...!<
+
Dobara dil basane mein...!<
+
Abhi kuch waqt lagna hy...!<
+
Abhi wo dard baqi hy...!<
+
Main kaise ik nai ulfat mein...!<
+
Apni zaat gum kar dun?...!<
+
K mere jism-o-jaan mein...!<
+
Abhi wo fard baqi hy...!<
+
Abhi us shakhs ki mujh par...!<
+
Nigah-e-sard baqi hy...!<
+
Abhi to ishq K raston ki...!<
+
Mujh par gard baqi hy...!<
+
Abhi wo dard baqi hy...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Tue 05/02/13

Ab'r malboos-e-aab tha jaise

='="="="="="="='=
._.-._.WASAL._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Ab'r malboos-e-aab tha jaise...!<
+
Chaand ko kuch hijab tha jaise...!<
+
Kal achanak wo yun mila mujh ko...!<
+
Koi pinhaan jawab tha jaise...!<
+
Safha safha safar tha yadon ka...!<
+
Jalti bujhti kitab tha jaise...!<
+
Adh'khili raat, ankahe manzar...!<
+
Raasta neem'taab tha jaise...!<
+
Chandni main tuloo hota hua...!<
+
Raat ka Aaftab tha jaise...!<
+
Gehri tarekiyon mein behta hua...!<
+
Aik raushan gulaab tha jaise...!<
+
Raat bhar maire aariz-o-lab par...!<
+
Bosa-e-maahtab tha jaise...!<
+
Us ki Aawaaz neem khwabeda...!<
+
Phool sa zair-e-aab tha jaise...!<
+
So K utha to meri Aankhon mein...!<
+
Us ki Aankhon ka khwab tha jaise...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Tue 05/02/13

Ab zulekha sa kharedar miley yan na miley

='="="="="="="='=
._.-._.FUNKAR._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Ab zulekha sa kharedar miley yan na miley...!<
+
Hum to dil bechain gy bazar miley ya na miley...!<
+
Apni tnhai se hum khud hi behl jayen gy...!<
+
Teri Pazaib ki jhankar miley ya na miley...!<
+
Teri zulfon ki Ghni chhao'n mere sath to hy...!<
+
Raah mein saaya-e-diwar miley ya na miley...!<
+
Apne har dard pe ro leta hun chupke chupke...!<
+
Koi mohsin koi ghum khuwar miley ya na miley...!<
+
Teri nafrat hi boht hy mere jeene K liye...!<
+
Zindagi mujh ko tera pyaar miley ya na miley...!<
+
Mere fun'paron ko becho mujhe nilaam karo...!<
+
Waqt par phir koi funkar miley ya na miley...!<
+
Aaj tu Aa hi gaya hy teri mehfl mein...!<
+
Ab ise doult-e-dedar miley ya na miley...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Tue 05/02/13

Ab zid pe Aa gaye ho to ye kaam B karo.

='="="="="="="='=
._.-.*ZINDAAN*.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Ab zid pe Aa gaye ho to ye kaam B karo...!<
+
Khud ko humare naam se badnaam B karo...!<
+
Ye kaya K in ruton mein B qaid-e-ana ki zid...!<
+
Barpa bahaar mein koi kohraam B karo...!<
+
Aashiq ho ger to sabar K zindaan ko tor do...!<
+
Ahl-e-jahan ki sazishen na'kaam B karo...!<
+
Tark-e-talluq ka maatam bohat hua...!<
+
Tum thak gaye ho Aao kuch Aaram B karo...!<
+
==>END<==
KHAKI.G

Ab ye maayar-e-safar lagta hy BY MOHSIN

='="="="="="="='=
PO@T
Mohsin Naqvi
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Ab ye maayar-e-safar lagta hy...!<
+
Koi sehra B ho ghr lagta hy...!<
+
Hijar ki rat K sun'naty mein...!<
+
Sans lete hue dar lagta hy...!<
+
Shehr mein be'hunari aam hui...!<
+
Har koi ahl-e-hunar lagta hy...!<
+
Apni surat se hy nafrat jis ko...!<
+
Wo koi aaina ger lagta hy...!<
+
Nouk-e-neza pe jo sajj kar nikla...!<
+
Kisi khud'dar ka ser lagta hy...!<
+
Jab B toote ye bikhrta jaye...!<
+
Dil kisi koonj ka parr lagta hy...!<
+
Jo bhare shehr se shab ko nikla...!<
+
Wo koi ahl-e-khabr lagta hy...!<
+
Ab K dariya mein na utro *Mohsin*...!<
+
Mouj dar mouj bhanwar lagta hy...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Tue 05/01/13

Ab yahan koi nahi, apna paraya B nahi

*..*..*..*..*..*..*..*
.*_*TANHAI*_*.
*..*..*..*..*..*..*..*
TEXT BY
IMRAN KHAKI
*..*..*..*..*..*..*..*
*.
Ab yahan koi nahi, apna paraya B nahi...!<
^.
Humne ye soch K mahfil ko sajaya B nahi...!<
^.
Gham ne ik bheer se B dhundh nikala hum ko...!<
^.
Hum ne to apna pata khud bataya B nahi...!<
^.
Hal-e-dil jaan gaye kaise zamaane wale?...!<
^.
Us ne pucha B nahi, hum ne sunaya B nahi...!<
^.
Hum ne patjhar ko B samjha hy baharen lekin!...!<
^.
Tumko is dard ka ahsaas dilaya bhi nahi...!<
^.
==>END<==
Khaki.G
12:35 am
Sun 14/10/12

Tuesday 5 February 2013

Ab wohi harf-e-junun sab ki zuba'n thehri hy By FAIz

='="="="="="="='=
PO@T
Faiz Ahmad Faiz
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Ab wohi harf-e-junun sab ki zuba'n thehri hy...!<
+
Jo B chal nikli hy wo baat kahan thehri hy?...!<
+
Aaj tak Shaikh K ikram mein jo shay thi haraam...!<
+
Ab wohi dushman-e-deen, rahat-e-jaa'n thehri hy...!<
+
Hy khabar garm K phirta hy gureza'n naseh...!<
+
Guftagu Aaj sar-e-ku-e-buta'n thehri hy...!<
+
Hy wohi aariz-e-laila, wohi shere'n ka dahan...!<
+
Nigha-e-shauq garhi bhar ko jahan thehri hy...!<
+
Wasl ki shab thi to kis darja subak guzri thi...!<
+
Hijr ki shab hy to kia sakht gira'n thehri hy...!<
+
Bikhri ik baar hy to hath Aai hy kab mauj-e-shamem...!<
+
Dil se nikli hy to kab lab pe figha'n thehri hy...!<
+
dast-e-sayyad B Aajiz hy, kaf-e-gul'che'nb...!<
+
Bu-e-gul thehri na bulbul ki zuba'n thehri hy...!<
+
Aate Aate yunhi dam bhar ko ruki ho gi bahar...!<
+
jate jate yunhi pal bhar ko khiza'n thehri hy...!<
+
Ham ne jo tarz-e-fugha'n ki hy qafas mein ejaad...!<
+
*Faiz gulshan mein wohi tarz-e-baya'n thehri hy...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Tue 05/02/13

Ab wo jhonke kahan saba jaise? By Faraz

='="="="="="="='=
PO@T
Ahmed Faraz
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Ab wo jhonke kahan saba jaise?...!<
+
Aag hy shehar ki hawa jaise...!<
+
Shab sulagti hy dopehr ki tarha...!<
+
Chand, sooraj se jal bujha jaise...!<
+
Mudaton baad B ye Aalam hy...!<
+
Aaj hi tu juda howa jaise...!<
+
Is tarha manzilon se hun mehroom...!<
+
Main sharik-e-safar na tha jaise...!<
+
Ab B waisi hy doori-e-manzil...!<
+
Sath chalta ho rasta jaise...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Tue 05/02/13

Ab wo toofan hy na wo shor hawaon jesa By Mohsin Naqvi

='="="="="="="='=
PO@T
Mohsin Naqvi
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Ab wo toofan hy na wo shor hawaon jesa...!<
+
Dil ka Aalam hy tere baad khalaon jesa...!<
+
Kash dunya mere ehsas ko wapis kar de...!<
+
Khamoshi ka wahi andaz, Sadaon jesa...!<
+
Pass reh kar B hamesha wo boht door mila...!<
+
Us ka andaz-e-taghaful tha Khudaon jesa...!<
+
Phir teri yaad K mosam ne jagaye mehshar...!<
+
Phir mere dil main utha shor hawaon jesa...!<
+
Baar'ha khwab main paa kar mujhe pyasa, *Mohsin*...!<
+
Us ki zulfon ne kiya raqs ghataon jesa...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Tue 05/02/13

Ab waqt-e-judai hy mujhe ab alwida keh do By Wasi Shah

='="="="="="="='=
PO@T
Wasi Shah
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Ab waqt-e-judai hy mujhe ab alwida keh do...!<
+
Ab phir wo tanhai hy mujhe ab alwida keh do...!<
+
Main lakh bura hun yaroon ki nazar mein...!<
+
Dil ro to raha hy magar mujhe ab alwida keh do...!<
+
Mere ansoo to mere hain meri khushiyan tumhari hain...!<
+
Mubarak tum ko ye khushiyan mujhe ab alwida keh do...!<
+
Mere jane par na rona mujhe tum yaad na karna...!<
+
Main tanha tha tanha hun mujhe ab AlwidaKeh Do...!<
+
Mujhe afsos to ho ga yun tum se door jane ka...!<
+
Meri yadon mein tum hi ho mujhe ab alwida keh do...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Mon 04/02/13

Suno musafir Zara ruko to

='="="="="="="='=
._.-.'MUSAFIR'.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Suno musafir__!<
+
Zara ruko to__!<
+
K Aaj mosum badal raha hy__!<
+
Yeh raste jo bohat dino'n se__!<
+
Tumhare Qadmon se Aashna tha__!<
+
Yeh rasty B thake howey hein__!<
+
Suno musafir__!<
+
Zara sa ruk kar__!<
+
Kisi ki darkhan ka shor sun lo__!<
+
Kisi ki Aankhon K tare gin lo__!<
+
Suno musafir__!<
+
Safer kabhi B__!<
+
Kisi ko B sath le kar__!<
+
Chalte nahi rahey hein__!<
+
Har eik ko manzil B kab hy milti?__!<
+
Ye manzilein to kisi kisi ka naseeb tehrein__!<
+
Suno Musafir__!<
+
Bhatak bhatak kar, tarap tarap K__!<
+
Sisak sissak K, dehak dehak K__!<
+
Kisi K jazbat soo na jayein__!<
+
Suno musafir__!<
+
Zara sa ruk ker__!<
+
Kisi ki dharkan ka shour sun lo__!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Tue 05/02/13

Ab K is tor Aanchal ki hawa dy mujh ko

='="="="="="="='=
._.-._.WEHAM._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Ab K is tor Aanchal ki hawa dy mujh ko...!<
+
Jagte zehan ki miras bana dy mujh ko...!<
+
Jo mere dard ki dawa samjh sakta ho...!<
+
Aye zmane koi aesa B *to la* dy mujh ko...!<
+
Main ne smja hy tuje munsauif-e-doran aksar...!<
+
Mere na karda gunaho ki saza dy mujh ko...!<
+
Main teri rah mein ik sang-e-subak wazan to ho...!<
+
Dair kya lagti hy? thokar se hata dy mujh ko...!<
+
Kab tlak mere tasawur mein rahe ga chup chap...!<
+
Tujh se mumkin ho to kuch dair bhula dy mujh ko...!<
+
Ye alag baat hy K ojhal ho nazar se warna...!<
+
main tere pas hi rehta hun sada dy mujh ko...!<
+
Main dharakta hun tere sene mein dil ki soorat...!<
+
Aye mere dushman-e-jan aur dua dy mujh ko...!<
+
Uf shab-e-gham ka wo theh'rah howa lamha...!<
+
Jab mere weham ki Aahat B jaga dy mujh ko...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
11:10 pm
Mon 04/02/13

Ab teri yaad se wehshat nahi hoti mujh ko BY MOHSIN

='="="="="="="='=
PO@T
Mohsin Naqvi
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Ab teri yaad se wehshat nahi hoti mujh ko...!<
+
Zakham khulte hain aziyat nai hoti mujh ko...!<
+
Ab koi aye,chala jaye main khush rhta hun...!<
+
Ab kisi shakhs ki Aadat nahi hoti mujh ko...!<
+
Aese badla hun tere sheher ka pani pee kar...!<
+
Jhoot bolun to nidamat nahi hoti mujh ko...!<
+
Hy amanat mein khyanat,so kisi ki khatir...!<
+
Koi marta hy to hayrat nahi hoti mujh ko...!<
+
Itna masruf hun jeene ki hawas mein *Mohsin*...!<
+
Sans lene ki B fursat nahi hoti mujh ko...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Mon 04/02/13
http://tanhakhaki.blogspot.com

Monday 4 February 2013

Ab umer ki naqdi khatam hui By Insha Jee

='="="="="="="='=
UMER KI NAQDI
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Ab umer ki naqdi khatam hui...!<
+
Ab hum ko udhar ki hajat hy...!<
+
Hy koi jo sahukar bane?...!<
+
Hy koi jo de'wan haar bane?...!<
+
Kuch saal, maheene din logo...!<
+
Par sud biyaj K bin logo...!<
+
Han apni jaan K khazane se...!<
+
Haa'n umer K tosha'khane se...!<
+
=> kia koi B sahukar nahi?...!<
+
Kia koi B dewan'haar nahi?...!<
+
*Jab naam udhar ka aya hy...!<
+
Q sab ne sar ko jhukaya hy...!<
+
Kuch kaam humein nimtane hain...!<
+
Jinhain jaan'ne walay jane hain...!<
+
Kuch pyaar udar K dhandhe hain...!<
+
Kuch jag K dosre phande hain...!<
+
Hum maangte nahi hazar baras...!<
+
Dus paanch baras do chaar baras...!<
+
*Haan, sud biyaj B de lain ge...!<
+
Haan aur khiraj B de lain ge...!<
+
Asaan bane, dushwar bane...!<
+
Par koi to dewanhar bane...!<
+
'*'
*Tum kon, tumhara naam hy kia?...!<
+
Kuch hum se tum ko kaam hy kia?...!<
+
Q is majme main ai ho?...!<
+
Kuch mangti ho? Kuch lai ho?...!<
+
*Ye karobar ki batein hain...!<
+
Ye naqd udhar ki batein hain...!<
+
*Hum beythe hain kashkol liey...!<
+
Sab umr ki nakdi khatam kiye...!<
+
Ger sher K nate ai ho...!<
+
Tab samjho jald judai ho...!<
+
*Ab geet gaya sangeet gaya...!<
+
Haan sher ka mausam beet gaya...!<
+
Ab put'jhur aye paat girain...!<
+
Kuch subh girain, kuch raat girain...!<
+
*Ye apne yaar purane hain...!<
+
Ek umer se hum ko jane hain...!<
+
In sab K paas hy maal buhat...!<
+
Haan umer K mah-o-saal buhat...!<
+
In sab ko hum ne bulaya hy...!<
+
Aur jholi ko pheylaya hy...!<
+
Tum jao, to un se baat karain...!<
+
Hum tum se na mulakat karain...!<
+
'*'
*Kia paanch baras?...!<
+
Kia umer apni K panch baras?...!<
+
Tum jaan ki theli laai ho?...!<
+
Kia pagal ho? Soadai ho?...!<
+
Jab umer ka akhair ata hy...!<
+
Her din sad'yan ban jata hy...!<
+
*Jeene ki hawas he nirali hy...!<
+
Hy kon jo is se khale hy...!<
+
Kia maut se pehle marna hy?...!<
+
Tum ko to buhat kuch karna hy...!<
+
*Phir tum ho hamhare kon bhala?...!<
+
Haan tum se hamhara kia rishta?...!<
+
Kia sud biyaj ka lalach hy?...!<
+
Kisi aur khiraj ka lalach hy?...!<
+
*Tum sohni ho man'mohni ho...!<
+
Tum ja kar puri umer jeeo...!<
+
Ye panch baras, ye char baras...!<
+
Chin jayein to lagain hazar baras...!<
+
'*'
*Sab dost gaye sab yaar gaye...!<
+
Thay jitne sahukar gaye...!<
+
Bas ek ye nari baithi hy...!<
+
Ye Kon hy? Kia hy? Kaise hy?...!<
+
Haan umer humain darkar B hy...!<
+
Haan jeene se humain pyaar B hai...!<
+
*Jub mangain jivan ki gharian...!<
+
Gustakh akhian kite ja larian...!<
+
Hum qerz tumhain lauta den ge...!<
+
Kuch aur B gharian ladain ge...!<
+
Jo saa'at-e-maah-o-saal nahi...!<
+
Wo gharian jin ko zawal nahi...!<
+
Lo apne jee main utaar liya...!<
+
Lo hum ne tum se udhaar lia...!<
+
PO@T
Ibn-e-Insha
==>END<==
KHAKI.G
11:24 pm
Mon 04/02/13

Jam chalne lagay dil machalne lagay By SAEED RAHI

='="="="="="="='=
PO@T
SAEED RAHI
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Jam chalne lagay dil machalne lagay__!<
+
Charay charay pe rangay sharab Aa gaya__!<
+
Baat kuch B na thi baat itni hui__!<
+
Aaj mahfil main wo be'naqaab Aa gaya__!<
+
Ek hi waqt main us K Aane se tha__!<
+
Chandni Ka saama roshni ka gumaa__!<
+
koi kahne laga mahtab Aa gaya__!<
+
Koi kahne laga Aaftab Aa gaya__!<
+
Dil'khasi kia kahain nazuki kia kahain__!<
+
Taazgi kia kahain dil'lagi kia kahain__!<
+
Hath mein hath us ka goo ayse laga__!<
+
Jayse hathon mein koi gulaab Aa gaya__!<
+
Husn wale teri baat rakhni pari__!<
+
Aa gai imtahan ki wo Aakhir ghari__!<
+
Puch le puch le Aaena hi to hy__!<
+
Dekh le Aaj tera jawaab Aa gaya__!<
+
Naam apna kahin per likha to nahi__!<
+
Bas is'si baat ka Aaj ker le yaqeen__!<
+
Aao *RAHI* zara puch ker daikh lain__!<
+
Apne dil wo khole kitab Aa gaya__!<
+
Khaki.G

Kese gul bute, shab! Khilati hy By Ataa Ul Haq Qasmi

Po@t
Ataa Ul Haq Qasmi

B00k FalsFati
Page 34 & 35

Kese gul bute, shab! Khilati hy__!<
+
Baat! Kehne se, door jati hy__!<
+
Lab ki Khirki main Aaj kal aksar__!<
+
Khamoshi! kohniyan tikati hy__!<
+
Uzar milta nahi, Sanbhalne ka__!<
+
Shayari! Raas jab Rachati hy__!<
+
Churiyan! tor de agar koi__!<
+
Payal! Wese hi toot jati hy__!<
+
Mehar'ban! Ab mujhe sanwrna hy__!<
+
Zindgi! roz ye, sunati hy__!<
+
Jab B! chand se jhagarti hy__!<
+
Chandni! Chhat pe phail jati hy__!<
+
Khwahishen! daiyre se niklen, to__!<
+
Khird! foran, ruth jati hy__!<
+
Paon! dharti pe jadugar jese__!<
+
Aankh! chehre mein tilismati hy__!<
+
Jism! beshak purana shehri hy__!<
+
Aarzu! Aaj B dehati hy__!<
+
Tan ki dhuni mein soch ki mirchen__!<
+
Jogan! Wehshat ko azmati hy__!<
+
Saans! kuch yadgar lamhon mein__!<
+
Parcham-e-bekhudi, hilati hy__!<
+
Saqi! Ishq koi jurm nahi__!<
+
Faisla! Ghair musawati hy__!<
+
==>END<==
KHAKI.G

Sacha jazba fani B to ho sakta hy By Qasir Shahzad

='="="="="="="='=
PO@T
Qasir Shahzad
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Sacha jazba fani B to ho sakta hy...!<
+
Khoon ka kya hy, pani B ho sakta hy...!<
+
Kisi na'ey maahol ki baten karne ka...!<
+
Maqsad naql makani B ho sakta hy...!<
+
Bhool B sakta hun main tere khad-o-khal...!<
+
Tera husn kahani B ho sakta hy...!<
+
Qariya qariya ghumne Phirne wala shakhs...!<
+
Waday ka zindani B ho sakta hy...!<
+
Roz chragh jalane ka matlab shehzad...!<
+
Koi yaad dihani B ho sakta hy...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Sun 03/02/13

Sunday 3 February 2013

Ojhal sahi nigah se, dooba nahi hun main By Amjad Islam Amjad

='="="="="="="='=
PO@T Amjad
Islam Amjad
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Ojhal sahi nigah se, dooba nahi hun main...!<
+
Ay raat hoshyaar! k hara nahi hun main...!<
+
Darpesh subh-o-shaam yahi kash'makash hy ab...!<
+
Us ka bano'n main kese K apna nahi hun main...!<
+
Mujh ko Farishta hone ka daawa nahi magar...!<
+
Jitna bura samjhte ho utna nahi hun main...!<
+
Is tarha pher pher B bate'n na ki'jiye...!<
+
Lehjay ka rukh samjhta hun bacha nahi hun main...!<
+
Mumkin nahi hy mujh se ye tarz-e-munafqat...!<
+
Dunya tere mizaj ka banda nahi hun main...!<
+
*Amjad* thi bher essi K chalte chale gaye...!<
+
Girnay ka es'sa khauf tha thehra nahi hun main...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Sun 03/02/05

O des say Aane wale bata BY Akhtar Shirani

='="="="="="="='=
PO@T
Akhtar Shirani
='="="="="="="='=
._.-._.PARDAS._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
O des say Aane wale bata...!<
+
Kis haal mein hain yaran-e-watan?...!<
+
Aawara-e-ghurbat ko B suna...!<
+
Kis rang mein hain kina'an-e-watan?...!<
+
Wo bagh-e-watan, firdos-e-watan...!<
+
Wo sarv-e-watan, rehan-e-watan...!<
+
O des say aney waley bata...!<
+
Kiya ab B watan mein waise hi...!<
+
Sar'mast nazarey hotey hain?...!<
+
Kiya ab B suhani raton ko...!<
+
Wo chand sitarey hotey hain?...!<
+
Hum khail jo khaila kartey they...!<
+
Kiya ab B wo sarey hotey hain?...!<
+
O des say ane waley bata...!<
+
Shadab shagufta phoolon se...!<
+
Ma'moor hain gulzar ab K nahin?...!<
+
Bazar mein malan lati hy...!<
+
Phoolon k gundhey haar ab K nahin?...!<
+
Aur shouq se totey partey hain...!<
+
No'umr kharidar ab k nahien?...!<
+
'*'
O des se ane waley bata...!<
+
Kiya ab B wahan waisi hi jawan...!<
+
Aur madh'bhari ratain hoti hain?...!<
+
Kiya raat bhar ab B geton ki...!<
+
Aur piyar ki batain hoti hain?...!<
+
Wo husn k jado chaltey hain...!<
+
Wo ishq ki ghatain hoti hain?...!<
+
O des sa ane waley bata...!<
+
Kiya ab B wahan k panghat per...!<
+
Pinhariyan pani bharti hain?...!<
+
Ungrai ka naqsha ban ban kar...!<
+
Sab mathey pe gagar dharti hain?...!<
+
Aur apne ghar ko jatey howe...!<
+
Hansti hoi chehlain karti hain?...!<
+
O des se ane waley bata...!<
+
Kiya ab B pahari ghatiyon mein...!<
+
Ghanghor ghatain gonjti hain?...!<
+
Sahil k ghanerey pairon mein...!<
+
Barkha ki sadahien gonjti hain?...!<
+
Jhengar k taraney jagtey hain...!<
+
Morom ki sadahien gonjti hain?...!<
+
'*'
O des se ane waley bata...!<
+
Kiya ab bhi wahan mailon mein wohi...!<
+
Barsat ka joban hota hy?...!<
+
Phailey howe Pair ki shakhon mein...!<
+
Jholon ka nasheman hota hy?...!<
+
Umdey howe badal hotey hain...!<
+
Chaya howa sawan hota hy?...!<
+
O des say ane waley bata...!<
+
Kiya ab B wahan barsat k din...!<
+
Baghon mein baharain ati hain?...!<
+
Masoom_o_haseen do'shiza'ain...!<
+
Barkha k taraney gati hain?...!<
+
Aur tetariyon ki tarha se rangeen...!<
+
Jholon per lehrati hain?...!<
+
O des say aney waley bata...!<
+
Kiya pehli si hy masoom abhi...!<
+
Wo madrasey ki shadab fiza?...!<
+
Kuch bhole howe din guzrey hain...!<
+
Jis mein wo misal-e-khwab fiza!...!<
+
Wo khail, wo hum-sin, wo maidan...!<
+
Wo khwab gah-e-mehtab fiza?...!<
+
'*'
O des se Aane wale bata...!<
+
Kiya ab B kisi k sene mein...!<
+
Baqi hy humari chah bata?...!<
+
Kiya yad humain B karta hy?...!<
+
Ab yaron main koi Aah bata?...!<
+
O des se ane waley bata...!<
+
Lillah bata! Lillah bata!...!<
+
O des say aney waley bata...!<
+
Kiya ab B fajar dam chr'wahey...!<
+
Rewar ko charane jatey hain?...!<
+
Aur sham k dhundhley sayon k...!<
+
Ham'rah ghar ko atey hain?...!<
+
Aur apni raseeli bansriyon Mein...!<
+
Ishq k naghmey gatey hain?...!<
+
O des se Aane waley bata...!<
+
Akhir mein ye hasrat hy k bata?...!<
+
Wo gharat-e-eman kaisi hy?...!<
+
Bachpan mein jo aafat dhati thi...!<
+
Wo Aafat-e-doran kaisi hy?...!<
+
Hum dono thay jis k parwane...!<
+
Wo shama-e-shabistan kaisi hy?...!<
+
'*'
O des se Aane waley bata...!<
+
Marjana tha jis ka naam bata...!<
+
Wo ghuncha deh'n kis haal mein hy?...!<
+
Jis per thay fida tiflan-e-watan...!<
+
Wo jan-e-watan kis haal mein hy?...!<
+
Wo sarv-e-chaman, wo rashk-e-watan...!<
+
Wo seem badan kis haal mein hy?...!<
+
O des se ane waley bata...!<
+
Ab naam-e-Khuda ho gi wo jawan...!<
+
Maikay mein hy ya susraal gai?...!<
+
Do'sheeza hy ya aafat mein usay...!<
+
Kam'bakht jawani daal gai?...!<
+
Ghar per hi rahi ya ghar say gai...!<
+
Khush haal rahi, khush haal gai?...!<
+
O des say aney waley bata...!<
+
Singer
Abida Parveen
==>END<==
KHAKI.G
Thr 03.02.13
11:15 pm

Ab to shehron se Khabar Aati hy diwanon ki

='="="="="="="='=
._.-.*ZARURAT*.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Ab to shehron se Khabar Aati hy diwanon ki...!<
+
koi pehchan hi baqi nahin viranon ki...!<
+
Subha hote hi nikal Aate hain bazar mein log...!<
+
Gathriyan sar pe uthaye huwe emaanon ki...!<
+
Apni poshak se hoshiyar K Khud'daam-e-qadim...!<
+
Dhaj'jiyaan maangte hain apne garibanon ki...!<
+
san'aten phailti jati hain magar is K sath...!<
+
Sarhaden tut'ti jati hain guli'stanon ki...!<
+
Un ko kya fikr K main paar laga K Duba...!<
+
Bahes karte rahe saahil pe jo tufanon ki...!<
+
Maqbare bante hain zindon K makanon se baland...!<
+
Kis qadar auj pe takreem hy insanon ki...!<
+
Teri rahmat to musal'lam hy magar ye to bata...!<
+
Kon bijli ko Khabar deta hy kasha'non ki...!<
+
Abhi takmil ko pahuncha nahin zehnon ka gudaaz...!<
+
Abhi duniya ko zarurat hy Ghazal'Khvanon ki...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Sun 03/02/13

Na jane kon si rut ka azaab baqi hy

='="="="="="="='=
._.-._.AZAAB._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Na jane kon si rut ka azaab baqi hy...!<
+
Fiza main habs ka raks-e- atab baqi hy...!<
+
Khizan se keh do kisi aur jaga Qayam kare...!<
+
K shak gull pe abi ik gulab baqi hy...!<
+
Mujhe zamana shanasi ka fun nahi Aata...!<
+
Meri khudi main Aana Ka shabab baqi hy...!<
+
Kaho to lut B Aayen gay hum teri khatir...!<
+
Mohabbato'n ka abi kuch hisab baqi hy...!<
+
Duaen neem'shabi ab Qabul ho K na ho...!<
+
Abi to pichle pehr ka azaab baqi hy...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Sun 03/02/01

Saturday 2 February 2013

Ab to naam-e-ishq se B sakht gabrata hai dil.

='="="="="="="='=
._.-._.MUSHKIL._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Ab to naam-e-ishq se B sakht gabrata hai dil...!<
+
Ay mere Allah! Kia se kia huwa jata hai dil...!<
+
Kia batayen dil se mil kar kia ghazab dhata hy dil...!<
+
Jis tarah aandhi koi aati hy, yun aata hy dil...!<
+
Rih gya hy ab to bs itna hi rabt ik shoukh se...!<
+
Samana jis waqt ho jata hy, bhr Aata hy dil...!<
+
Dil to sene hi main rihta hy mgr us K hazor...!<
+
Jaisy ab jata hy dil seene se ab jata hy dil...!<
+
Jb sitam hi muda'wa tehra, sitam b kia zaror...!<
+
Kch na kch taskeen C yun B to pa jata hy dil...!<
+
Samaane un K hamen se us ki zalim shoukhiya'n...!<
+
Wo nahi hote to kia nadan ban jata hy dil...!<
+
Raham B ghussa kia kia Aah aata hy...!<
+
Khud tarrap kar ishq main jb muj ko Tarpata hy Dil...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Sat 02/02/13

Ab to mumkin hi nahi un se mulaqat *wasi*

='="="="="="="='=
PO@T
Wasi Shah
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Ab to mumkin hi nahi un se mulaqat wasi...!<
+
Ab to urooj pe puhanchi hy us ki zaat wasi...!<
+
Wahi wady hain aur rasmon ki zanjiren baqi...!<
+
Kab badalti hain zamane ki riwayat wasi...!<
+
Ak wo din thy K ek dosry ko sochty thy hum...!<
+
Ab milty nahi dono k khayalat wasi...!<
+
Meri her subha ka aghaz tery naam se ho...!<
+
Teri yadon main kati meri her aik raat wasi...!<
+
Tum kahan aur mere piyar ka miyar kahan?...!<
+
wo kitni sadgi se ker gaya ye baat wasi...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Sat 02/02/13

Ab to le de k wohi shakhs bacha hy mujh main By Mohsin Naqvi

='====="===='=
PO@T
Mohsin Naqvi
='====="===='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='====="===='=
'*'
Ab to le de k wohi shakhs bacha hy mujh mein..!<
+
Mujh ko mujh se juda kar K jo chupa hy mujh mein..!<
+
Mera ye haal ubharti hui khaak jesy..!<
+
Wo baro dair se kuch dund raha hy mujh mein..!<
+
Jitne mosam hain sab jese kaheen mil jaen..!<
+
In dinon kese btaon jo fiza hy mujh mein..!<
+
Aaina ye to btata hy K main kya hun lekin..!<
+
Aaina is pay hy khamosh K Kya hy mujh mein..!<
+
Ab to bus jaan hi dene ki hy bari *Mohsin*..!<
+
Main kahan tak karon sabit K wafa hy mujh mein..!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Sat 02/02/05

Ab to khwaish hy BY Mohsin (shab-e-qadr)

='="="="="="="='=
Po@t
Mohsin Naqvi
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Ab to khwaish hy K yeh zakham B kha kar dekhen...!<
+
Lamha bhr ko hi sahi us ko bhula kr dekhen...!<
+
Shahr mein jashan-e shab-e-qadr ki saa'at Aai...!<
+
Aj ham B tere milne ki dua kar dekhen...!<
+
Zindgi ab tuje sochen B to dum ghut'ta hy...!<
+
Ham ne chaha tha kbi tuj se wafa kar dekhen...!<
+
Jin K zarron mein khizaan haanp k so jaati hy...!<
+
Aisi kabron pe koi phool saja kar dekhen...!<
+
Yun B dunia hamen maqrooz kiye rakhti hy...!<
+
Dast-e qaatil tera ihsaan B utha kar dekhen...!<
+
Rone walon K to hamdard boht hain '_'Mohsin'_'...!<
+
Hanste hanste kbi dunia ko rula kar dekhen...!<
+
==>END<==
KHAKI.G

Ab tum mere pas Aai ho to kya Aai ho

='="="="="="="='=
._.-.PACHTAWA.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Ab tum mere pas Aai ho to kya Aai ho...!<
+
Main ne mana K tum ek paikar-e-ranai ho...!<
+
Chaman-e-dahr mein rooh-e-chaman Aarai ho...!<
+
Talat-e-mehr ho firdos ki barnai ho...!<
+
Bint-e-mehtaab ho gardun se utar Aai ho...!<
+
Mujh se milne mein ab andesha-e-ruswai hy...!<
+
Main ne khod apne kiye ki ye saza pai hy...!<
+
Un dino mujh pe qayamat ka junoon tari tha...!<
+
Sar pe sarshari-o-hishrat ka junoon tari tha...!<
+
Maah paron se mohabbat ka junoon tari tha...!<
+
Shaher yaaron se raqbat ka junoon tari tha...!<
+
Bistar-e-makhmal-o-zandiyaab thi duniya meri...!<
+
Ek rangen-o-haseb khwab thi duniya meri...!<
+
'*'
Kya suno gi meri majrooh jawani ki pukar?...!<
+
meri fariyad-e-jigar doz mera lala-e-zar...!<
+
Shiddat-e-qarb main doobi howi meri guftar...!<
+
Main K khud apne mazaq-e-tarabani ka shikar...!<
+
wo udaaz-e-dil-e-marhom kahan se laun...!<
+
Ab main wo jazba-e-masoom kahan se laoon?...!<
+
Ab mere pas tum Aai ho to kya aai ho?...!<
+
Po@t
Asrarul Haq Majaz Lakhnavi
==>END<==
KHAKI.G
Sat 02/02/13

Ab tak na samaj paye mera shor-e-fughaan B

='="="="="="="='=
Andaz-e-Bayaan
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Ab tak na samaj paye mera shor-e-fughaan B...!<
+
Tum log to parh lety ho ankhon ki zuban B...!<
+
Khat is liye shayd mujy ab tum nahi likhty...!<
+
Kaghaz pe utr aaty hain sanson K nishan B...!<
+
Shohrat se faqt is liye aata hy mujy khof...!<
+
Mash'hoor na ho jaye mera zakhm-e-nihaan B...!<
+
Is dard K rishte mein to yksan hain shab-o-roz...!<
+
Jo haal tumhara hy wo Aalam hy yahan B...!<
+
Kuch wo B dukhi dil liye aya tha mere pas...!<
+
Kuch dard bhra tha mera andaz-e-bayaan B...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Sat 02/02/13

Ab teri zarurat B bohat kam hy meri jaan By Habib Jalib

='="="="="="="='=
PO@T
Habib Jalib
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Ab teri zarurat B bohat kam hy, meri jaa'n...!<
+
Ab shouq ka kuch aur hi Aalam hy meri jaa'n...!<
+
Ab tazkara-e-khanda-e-gul, baar hy jee par...!<
+
Jaa'n waqf-e-gham garya-e-shabnam hy meri jaa'n...!<
+
Rukh pe tere bikhri hui ye zulf siyah'taab...!<
+
Tasweer pareshani-e-Aalam hy meri jaa'n...!<
+
Ye teri tawaj'jo ka hy ejaz K mujh se...!<
+
Har shakhs tere sheher ka barham hy meri jaa'n...!<
+
Ay nuzhat-e-mahtab, tera gham hy meri zeest...!<
+
Ay naazish-e-khursed, tera gham hy meri jaa'n...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
07:32 pm
Sat 02/02/13

Ab tak to noor-o-nikhat-o-rang-o-sada kahun BY Ahmad Nadeem Qaasmi

='="="="="="="='=
Po@t Ahmad
Nadeem Qaasmi
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Ab tak to noor-o-nikhat-o-rang-o-sada kahoon...!<
'*'
Main tujh ko chu sakoon to khuda jane kya khaoon?...!<
'*'
Lafzon se un ko pyar hy mafhoom se mujhe...!<
'*'
Wo gul kahein jise main tera naqsh-e-pa kahoon...!<
'*'
Ab justajoo hy tere jafa K jawaaz ki...!<
'*'
Ji chahta hy tujhe wafa Aashna kahoon...!<
'*'
Sirf is K liye K ishq isi ka zahoor hy...!<
'*'
Main tere husn ko B saboot-e-wafa kahoon...!<
'*'
Tu chal diya to kitne haqaiq badal gaye...!<
'*'
Najm-e-sehar ko marqad-e-shab ka diya kahoon...!<
'*'
Kya jabr hy? K buth ko B kehna parhe khuda...!<
'*'
Wo hy khuda to mere khuda tuj ko kya kahoon?...!<
'*'
Jab mere muh mein meri zubaan hy to Q na mein...!<
'*'
Jo kuch kahoon' yaqeen se kahoon' barmala kahoon...!<
'*'
>
'*'
Kya jane kis safar pe rawana hun azal se main?...!<
'*'
Har intiha ko ek nayi ibtada kahoon...!<
'*'
Ho Q na muj ko apne mazaq-e-saqoon pe naaz...!<
'*'
ghalib ko kayenat-e-saqoon ka khuda kahoon...!<
'*'
==>END<==
KHAKI.G
05:75 pm
Sat 02.02.13

Ab shoq e safar, khawahish e yakjaai bohot hy

='="="="="="="='=
._.-._.PAZERAI._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Ab shoq-e-safar, khawahish-e-yakjaai bohot hy...!<
'*'
Dushman hi milay, raah mein tanhai bohot hy...!<
'*'
Hum kon se ghalib thay K shohrat hamein milti...!<
'*'
Dunia! teri itni B pazerai bohot hy...!<
'*'
Zakhmon ki numaish ka saleqa nahi hum ko...!<
'*'
Wo hain unhein shoq-e-masihai bohot hy...!<
'*'
Logon se taruf, na koi jaan na pehchan...!<
'*'
Dil hy K isi bazm ka shedai bohot hy...!<
'*'
Galiyon mein magar koi dareecha nahi khulta...!<
'*'
Aapas mein yahan shor-e-shanasaai bohot hy...!<
'*'
Shaamein hain bohot veraan barsaat mein jaanaan...!<
'*'
Kehnay ko bhara sheher hy, tanhai bohot hy...!<
==>END<==
Khaki.G
Sat 02/02/13

Ab raaz khul gya hy us ka sahelion par..

='="="="="="="='=
._.-._.RAAZ._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Ab raaz khul gya hy us ka sahelion par...!<
+
Likha hy naam mera dono hathelion par...!<
+
Main un ki tang nazri arsy se janta hun...!<
+
Mat aetbar krna ounchi hawelion par...!<
+
Jin ka jawab hum ko maloom hi nai hy...!<
+
Jevan guzar Aaye aisi pahelion par...!<
+
Gajry ghulab wale kal raat bech Aaya...!<
+
Maali ki ab nazr hy taza chanbelion par...!<
+
Kehne lagi wo mujh se ab raaz daan kahan hain?...!<
+
Itna yaqeen na karna tum apne belion par...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Sat 03/01/13