Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Sunday 31 March 2013

Ab kya kahen kya mashghla hum dil'zada logon ka

4 u Sabir Jaan
='="="="="="="='=
._.-._.MUJRIM._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Ab kya kahen kya mashghla hum dil'zada logon ka hy...!<
+
Awaargi shamon ki hy, aur jaagna raton ka hy...!<
+
Dehshat si kuch raston mein hy, kuch shor sa pato'n ka hy...!<
+
Ik sarsarata sa weham shaam ka lamhon ka hy...!<
+
Waadon ki rut ruskhsat hui, baton ko chup si lag gayi...!<
+
Milna to ab khawbon mein hy, rishta to bas yadon ka hy...!<
+
Jo harf dil pe lage, un ki khalish jo qaatil bani...!<
+
Jo keh K hum mujrim huye, rona ab un baaton ka hy...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
11:45 pm
Sun 31:03:13

Saturday 30 March 2013

Silsalah-e-roz-o-shab By Iqbal (Masjid-e-Qurtuba)

PO@T
Sir Dr Allama Iqbal
(Haspania Ki Sarzameen, Bil-Khasoos Qurtaba Mein Likhi Gyi)
='="="="="="="='=
Masjid-e-Qurtuba
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Silsalah-e-roz-o-shab, naqsh gar-e-hadsaat...!<
+
Silsalah-e-roz-o-shab, asal-e-hayat-o-mamaat...!<
+
Silsalah-e-roz-o-shab, taar-e-hareer-e-do rang...!<
+
Jis se banati hy zaat apni Qaba'ay sifat...!<
+
Silsalah-e-roz-o-shab, saaz-e-azal ki faghan...!<
+
Jis se dikhati hy zaat zair-o-bam-e-mumkinaat...!<
+
Tujh ko parakhta hy ye, mujh ko parakhta hy ye...!<
+
Silsalah-e-roz-o-shab, sayr fee kainat...!<
+
Tu ho agar kam ayaar, main hun agar kam ayaar...!<
+
Mout hy teri baraat, mout hy meri baraat...!<
+
Tere shab-o-roz ki aur haqiqat hy kya?...!<
+
Aik zamane ki ro jis mein na din hy na raat...!<
+
Aani-o-fani tamam mojazaat haye gunar...!<
+
Kaar-e-jahan be'sabaat, kaar-e-jahan be'sabaat...!<
+
Awwal-o-akhir fana, batin-o-zahir fana...!<
+
Naqsh-e-kuhan ho K nau, manzil-e-akhir fana...!<
+
Hy magar is naqsh mein rang-e-sabaat-e-dawam...!<
+
Jis ko kiya ho kisi mard-e-khuda ne tamam...!<
+
Mard-e-khuda ka amal ishq se sahib firogh...!<
+
Ishq hy asal-e-hayat, mout hy is par haraam...!<
+
Tund-o-subak sair hy gharcha zamane ki ro...!<
+
Ishq khud ek sayl hy, sayl ko leta hy thaam...!<
+
Ishq ki taqweem mein asar-e-rawan K sawa...!<
+
Aur zamane B hain jin ka nahin koi naam...!<
+
Ishq dam-e-Jibreel, ishq dam-e-mustafa (S.A.W.)...!<
+
Ishq Khuda ka rasool, ishq Khuda ka kalaam...!<
+
Ishq ki masti se hy paikar-e-gil tabnak...!<
+
Ishq hy sehba'ay khaam, ishq hy kaas-ul-kiraam...!<
+
Ishq faqeeh-e-haram, ishq ameer junood...!<
+
Ishq hy ibn-ul-sabeel, is K hazaron maqam...!<
+
Ishq K mizraab se naghma'ay taar-e-hayat...!<
+
Ishq se noor-e-hayat, ishq se naar-e-hayat...!<
+
Ae haram-e-Qurtuba! Ishq se tera wujood...!<
+
Ishq sarapa dawam, jis mein nahin raft-o-bood...!<
+
Rang ho ya khisht-o-sang, chang ho ya harf-o-soot...!<
+
Moajaza-e-fan ki hy khoon-e-jigar se namood...!<
+
Katra-e-khoon-e-jigar sil ko banata hy dil...!<
+
Khoon-e-jigar se sada souz-o-suroor-o-surood...!<
+
Teri fiza dil faroz, meri nawa sina soz...!<
+
Tujh se dilon ka huzoor, mujh se dilon ki kushood...!<
+
Arsh-e-muala se kam sina'ay Adam nahin...!<
+
Garche kaf-e-khak ki had hy sipihr-e-kubood...!<
+
Pekar-e-noori ko hy sajda meyasir to kya?...!<
+
Is ko meyasir nahin soz-o-gudaaz-e-sujood...!<
+
Kafir-e-hindi hun main, dekh mera zauq-o-shauq...!<
+
Dil mein Salat-O-Durood, lab pe Salat-O-Durood...!<
+
Shauq meri Le main hy, shauq meri Ne mein hy...!<
+
Naghma'ay ALLAH HOO mere rag-e-pe mein hy...!<
+
Tera jalal-o-jamal, mard-e-khuda ki daleel...!<
+
Wo B Jaleel-o-Jameel, tu B Jaleel-o-Jameel...!<
+
Teri bina paidar, tere sutoon be'shumar...!<
+
Sham K sehra mein ho jaise hujoom-e-nakheel...!<
+
Tere dar-o-baam par wadi-e-ayman ka noor...!<
+
Tera minaar-e-buland jalwagah-e-Jibreel...!<
+
Mit nahin sakta kabhi mard-e-musalman K hy...!<
+
Is ki azanon se fash sir-e-Kaleem(A.S.)-o-Khalil(A.S.)...!<
+
Is bi zameen behadood, is ka ufaq be'sooghoor...!<
+
Is K samundar ki mouj, dajla-o-danyob-o-neel...!<
+
Is K zamane ajeeb, is K fasane ghareeb...!<
+
Ehad-e-kuhan ko diya is ne payam-e-raheel...!<
+
Saqi arbab-e-zauq, faris-e-maidan-e-shauq...!<
+
Badah hy is ka raheeq, taeg hy is ki aseel...!<
+
Mard-e-sipahi hy wo, is ki zirah LA ILAHA...!<
+
Saya-e-shamsheer mein is ki panah LA ILAHA...!<
+
Tujh se huwa ashkara banda-e-momin ka raaz...!<
+
Is K dino ki tapish, is ki shabon ka gudaazg...!<
+
Is ka maqam buland, is ka khayal azeem...!<
+
Is ka suroor, is ka shauq, is ka niaz, is ka naaz...!<
+
Hath hy ALLAH ka banda-e-momin ka hath...!<
+
Ghalib-o-kaar'afreen, kaar'kusha, kaar'saaz...!<
+
Khaki-o-noori nihad, banda-e-mola sifat...!<
+
Har do jahan se ghani is ka dil-e-beniaz...!<
+
Us ki umeedain qaleel, us ki maqasid jaleel...!<
+
Us ki ada dil faraib, is ki nigah dil nawaz...!<
+
Naram dam-e-guftugu, garam dam-e-justuju...!<
+
Razm ho ya bazm ho, pak dil-o-pak baz...!<
+
Nukta'ay parkar-e-haq, mard-e-khuda ka yaqeen...!<
+
Aur ye alam tamam weham-o-tilism-o-majaz...!<
+
Aqal ki manzil hy wo, ishq ka hasil hy wo...!<
+
Halqa-e-afaq mein garmi-e-mehfil hy wo...!<
+
Kaaba arbab-e-fan! Sitwat-e-deen-e-mubeen...!<
+
Tujh se haram martabat andlusiyon ki zameen...!<
+
Hy teh-e-gardoon agar husn mein teri nazeer...!<
+
Qalb-e-musalman mein hy, aur nahi hy kahin...!<
+
Aah wo mardan-e-haq! Wo arabi shehsawar...!<
+
Hamil-e-khulq-e-azeem, sahib-e-sidq-o-yaqeen...!<
+
Jin ki hukumat se hy fash ye ramz-e-ghareeb...!<
+
Saltanat ahl-e-dil faqar hy, shahi nahin...!<
+
Jin ki nigahon ne ki tarbiat-e-sharq-o-gharb...!<
+
Zulmat-e-yorap mein thi jin khird rah been...!<
+
Jin K lahoo ki tafail Aaj B hain andlasi...!<
+
Khush dil-o-garam ikhtalaat, sada-o-roshan jabeen...!<
+
Aaj B is dais mein Aam hy chasm-e-ghazal...!<
+
Aur nigahon K teer Aaj B hain dil nashen...!<
+
Boo-e-yaman Aaj B is ki hawaon mein hy...!<
+
Rang-e-hijaz Aaj B is ki nawaon mein hy...!<
+
Didah-e-anjum mein hy teri zameen,asman...!<
+
Aah K sadiyon se hy teri faza be'azan...!<
+
Kon si wadi mein hy? Kon si manzil mein hy...!<
+
Ishq-e-bala khaiz ka kafla-e-sakht jaan...!<
+
Dekh chuka almani, shorish-e-islah-e-deen...!<
+
Jis ne na chore kahin naqsh-e-kuhan K nishan...!<
+
Harf-e-galat ban gayi ismat-e-peer-e-kunisht...!<
+
Aur huwi fikar ki kashti-e-nazuk rawan...!<
+
Chashme-e-francis B dekh chuki inqilab...!<
+
Jis se digargoon huwa magribiyon ka jahan...!<
+
Millat-e-roomi nazad kuhna prasti se peer...!<
+
Lazzat-e-tajdeed se wo B huwi phir jawan...!<
+
Rooh-e-musalman mein hy Aaj wohi iztarab...!<
+
Raaz-e-khudai hy ye, keh nahin sakti zuban...!<
+
Dekhiye is behar ki teh se uchalta hy kya?...!<
+
Gunbad-e-nilofari rang badalta hy kya?...!<
+
Wadi-e-kuhsaar mein garaq-e-shafaq hy sahab...!<
+
La'al-e-badkhashan K dhair chor gya aftab...!<
+
Sada-o-pursoz hy dukhtar-e-dehqan ka geet...!<
+
Kashti-e-dil K liye sayl hy ehad-e-shabab...!<
+
Aab-e-rawan-e-kabeer! Tere kinare koi...!<
+
Dekh raha hy kisi aur zamane ka khawab...!<
+
Alam-e-nau hy abhi parda-e-taqdeer mein...!<
+
Meri nigahon mein hy is ki sehar behijab...!<
+
Parda utha dun agar chehra-e-afkar se...!<
+
La na sake ga farang meri nawa'on ki taab...!<
+
Jis mein na ho inqilab, mout hy wo zindagi...!<
+
Rooh-e-ummam ki hayat kashmakash-e-inqilab...!<
+
Soorat-e-shamsheer hy dast-e-Qaza mein wo qaum...!<
+
Karti hy jo har zaman apne amal ka hisaab...!<
+
Naqsh hain sub na'tamam khoon-e-jigar K begair...!<
+
Naghma hy soda-e-kham khoon-e-jigar K begair...!<
+
(Wada-Al-Kabeer Qurtuba Ka Mashoor Darya Jis Ke Qareeb Hi Masjid-E-Qurtaba Waqiya hy)
+
==>END<==
KHAKI.G
11:00 pm
Sat 30/03/13

Wednesday 27 March 2013

Adhoori baatein hi zindagi hain

='="="="="="="='=
._.-._.ZIDAGI._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Adhoori baatein hi zindagi hain_!<
+
Wo guzri batein hi zindagi hain_!<
+
Agarcha dil ki udas ujri hui ruton main_!<
+
Bikhar gaye hain kayi zamano se sari batein_!<
+
Wo guzri batein_!<
+
Sulagte shamon K jalte bujhte alaao hi main_!<
+
Pighal gaye hain_!<
+
Adhoori batein zaroori batein_!<
+
Yeh khushk hoty hui ragon ki sayah kabron main neem murda_!<
+
Dassi hui khawhishon k hamrah Gundhi hui hain_!<
+
Yeh aankh ki putlion main thak k_!<
+
Khatakty palkon pe so gayee hain_!<
+
Tamam baatein darust janaa_!<
+
Tamam khadshay baja hain lekin_!<
+
Har ek imkaan zindagi main_!<
+
Ragon main aur rooh ki zameen main_!<
+
Inhi ki yaadein bhatak rahe hain_!<
+
Inhi k dam se zaeef jazbon_!<
+
Thitartey lafzon bhuji tamnnao main ramaq hy_!<
+
Adhoori baatein hi zindagi hain_!<
+
Wo guzri batein hi zindagi hain_!<
+
Wo guzri batein bhula na dena_!<
+
Khayal rakhna_!<
+
Khayal rakhna_!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Wed 27/03/13

Adhoori baat hy lekin.

='="="="="="="='=
._.-.*ZARURAT*.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Adhoori baat hy lekin...!<
+
Mera kehna zaroori hy...!<
+
K meri saans chalne ko...!<
+
Tera jeena zaroori hy...!<
+
Ye dil betaab rehta hy...!<
+
Tera milna zaroori hy...!<
+
Nazar meri tarasti hy...!<
+
Tera jalwa zaroori hy...!<
+
Agar to Aag hy to phir...!<
+
Mera jalna zaroori hy...!<
+
Agar to mout hy to phir...!<
+
Mera marna zaroori hy...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Wed 27/03/13

Adhori har kahani hy, yahan zoq-e-tamasha ki

='="="="="="="='=
._.-.'PASBANI'.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Adhori har kahani hy, yahan zoq-e-tamasha ki...!<
+
Kabhi nazrein nahi rehtein, kabhi manzar nahi rehtay...!<
+
Bohat mehngi paray gi pasbani tum ko gairat ki...!<
+
Jo dastarein bacha letay hein un k sar nahi rehtay...!<
+
Mujhe na'dim kiya kal raat darwaze ne ye keh kar...!<
+
Shareef insan ghar se dair tak bahar nahi rehtay...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Wed 27/03/13

Adhore khawab K ander.

='="="="="="="='=
._.-._.KHAWAB._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Adhore khawab K ander...!<
+
Kabhi palkein bichana mat...!<
+
Adhurey khawab Aankhon ko...!<
+
Boht taklif detey hein...!<
+
Adhoori yaad ko dil ki zameen mein tum nahi bona...!<
+
Adhori yaad dharkan mein...!<
+
Boht chubhti, Sisakti hy...!<
+
Khalish ban ker khatakti hy...!<
+
Lahoo mein bijliyan ban ker bhatakti hy...!<
+
Adhorey pyar ko lekin...!<
+
Chalo! jane do is ko ab...!<
+
Mohabbat, pyar aur chahat...!<
+
To hotey hi adhoore hain...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Wed 27/03/13

Sunday 24 March 2013

Waqt ka yeh parida ruka hy kahan (song)

='="="="="="="='=
._.-._.WAQT._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
BY JASWANT SINGI
'*'
Waqt ka yeh parida ruka hy kahan?...!<
+
Main tha pagal jo is ko bulata raha....!<
+
Char paise kamane main aaya sheher...!<
+
Gaoon mera mujhe yaad aata raha....!<
+
Lout ta tha jub pathshala se ghur...!<
+
Apne hathon se khana khelati thi maa....!<
+
Raat mein apni mamta k anchal taley...!<
+
Thap'keaan de K Mujh ko sulati thi maa....!<
+
Soch k Dil main ek tees uthti rahi...!<
+
Raat bhar dard mujh ko jagata raha....!<
+
Char pease kamane main aaya sheher...!<
+
Gaoon mera mujhe yaad ata raha....!<
+
Sab ki ankhon main ansoo jhulk aaye they...!<
+
Jab rawana howa tha sheher K leya....!<
+
Kuch ne mangi duwain K main khush rahon...!<
+
kuch ne mazaron main ja k jalaye deeya....!<
+
Ek din main banoon ga baraha Aadami...!<
+
Yeh tasawar onhain gud'guda'ta raha...!<
+
'*'
Char pease kamane main aaya shehar...!<
+
Gaoon mera mujhe yaad ata raha....!<
+
Maa yeh likhti hy har bar khut main mujhe...!<
+
Lout aa mere betay tujhe hy qasam....!<
+
Tu gaya jab se pardais main be'chain hon...!<
+
Neend aati nahi bhok lagti hy kam....!<
+
Kitna chaha na rooun muger kaya kuron?...!<
+
Khaat meri maa ka mujh ko rulata raha....!<
+
Char pease kamane main aaya sheher...!<
+
Gaoon mera mujha yaad aata raha...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Retyp date
12:50 Am
Mon 25/03/13

Ye daolat B le lo BY Sudarshan Fakhir

='="="="="="="='=
PO@T
Sudarshan Fakhir
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Ye daolat B le lo ye shohrat B le lo...!<
+
Bhale cheen lo mujh se meri jawani...!<
+
Magar mujh ko lota do bachpan ka saawan...!<
+
Wo kaghaz ki kashti wo barish ka pani...!<
+
=>Mohallay ki sab se purani nishani...!<
+
Wo burhiya jise bachay kehty thy naani...!<
+
Wo naani ki baton main pariyon ka daira...!<
+
Wo chehry ki jhuriyon main sadiyon ka phaira...!<
+
Bhulaye nahi bhool sakta hy Koi...!<
+
Wo choti si ratain wo lambi kahani...!<
+
'*'
=>karhi dhoop main apne ghar se nikalna...!<
+
Wo chirya wo bulbul wo titli pakarna...!<
+
Wo guriya ki shadi pe larna jhagarna...!<
+
Wo Jhulon se girna wo gir k sambhalna...!<
+
Wo peetal k challon k pyare se tohfay...!<
+
Wo tooti hui churiyon ki nishani...!<
+
=>Kbhi rait K oonche tailon pe jana...!<
+
Gharonay banana bana K mitana...!<
+
Wo masoom chahat ki tasveer apni...!<
+
Wo khuwabon Khilono ki jager apni...!<
+
Na duniya ka gham tha na rishton K bandhan...!<
+
Bari Khubsurat thi wo zindgani...!<
+
Wo kaghaz ki kashti wo barish ka paani...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
09:10 Pm
Sun 24/03/13

Friday 22 March 2013

Adhoray khwabon K khasta kagaz, sanbhal rkhna,hisab hoga

='="="="="="="='=
._.-._.HISAB._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Adhoray khwabon K khasta kagaz, sanbhal rkhna,hisab hoga...!<
+
Wafa K rishtay jafa ki rut main, bahal rkhna, hisab hoga...!<
+
Sunehray jazbon ki qadar karna, rafaqaton main waqar rkhna...!<
+
Andher nagri main dil jala K, khayal rkhna, hisab hoga...!<
+
Muhbaton K safeer ban kar, jo chahaton K naqeeb ban'na...!<
+
Rah-e-wafa main na tum kisi se, malal rkhna, hisab hoga...!<
+
Zamane bhr ki ye talkhiyan Q? ye jabar kesa? ye sabr kasa?...!<
+
Meray liye tum bus apne lub pe, sawal rakhna, hisab hoga...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
11:18 pm
Fri 22/03/13

Adhoray gham adhoray rat'jagay achy nhi lagte

='="="="="="="='=
._.-._.KHOFF._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Adhoray gham adhoray rat'jagay achy nhi lagte...!<
+
Bikharte tot'te sapne mjhe ache nhi lagte...!<
+
Main hun takmeel ka qail yehi hy qaida mera...!<
+
Juda hote hoye raste mujhe ache nahi lagte...!<
+
Mohabbat main yaqinan fasla rkhne ka qail hun...!<
+
Magr had se zyada fasle ache nhi lagte...!<
+
Hisaar-e-zaat main rehna meri majboryn B hain...!<
+
Mjhe logon se itne rabtay ache nhi lagte...!<
+
Judai ho na jaye bus ye hi tou khoff hy mujh ko...!<
+
Ye majno ki trha K hoslay achhe nhi lagte...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
12:43 pm
Fri 22/03/13

Adhoory chand se faryad to karta ho g

='="="="="="="='=
._.-._.YAAD._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Adhoory chand se faryad to karta ho ga...!<
+
Wo mujhy ziyada nahi par yaad to karta ho ga...!<
+
Bhoole se hi sahi kabhi meri yaad to Aati hogi...!<
+
Wo mere bare mein kuch irshad to karta ho ga...!<
+
Bohat masroof sahi din bhar, phir B...!<
+
Tanhaiyon main kuch pal mere liye barbad to karta ho ga...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Fri 22/01/13

Tuesday 19 March 2013

Adhuri batein jo kar gaye ho

='="="="="="="='=
._.-._.INTIZAR._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Adhuri batein jo kar gaye ho...!<
+
Mery hi Dil mein utar gye ho...!<
+
Kis ki chahat ka ye asar hy?...!<
+
K reza reza bikhar gye ho...!<
+
Tumhi to ho jo hamary Dil ki...!<
+
Hadon ko cho kar guzar gye ho...!<
+
Hamara thamoh gy hath kya tum?...!<
+
Abhi zamane se dar gye ho...!<
+
Chaly gye ho nazar jhuka K...!<
+
Hamey Deewana sa kar gye ho...!<
+
Bhool baithy ho ehad sare...!<
+
Abhi se Q tum mukar gaye ho?...!<
+
Dhoondti hy yeh nazar tum ko...!<
+
Aa B jao,kidhar gaye ho?...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Wed 20/03/13

Adhoori baat na chora kro khuda K liye

='="="="="="="='=
._.-.GUZARASH.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Adhoori baat na chora kro khuda K liye...!<
+
Yun mere dil ko na tora kro khuda K liye...!<
+
Main apne sabbar ko kitni mazeed wusa'at dun?...!<
+
Tum apne jabbar ko thora kro khuda K liye...!<
+
Tmhare bin muje jeena muhaal lagta hy...!<
+
Ab Aao khatam vichora kro khuda K liye...!<
+
Hazzar baar kaha hy faqat tmhara hun...!<
+
Muje na orron se jora kro khuda K liye...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Wed 20/03/13

Monday 18 March 2013

Adhi raat ko ye dunia waley (Gulam Ali)

='="="="="="="='=
._.-.MOHABAT-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
Voice by
Gulam Ali
'*'
Adhi raat ko ye dunia waley...!<
+
Jab khowabun mein kho jatey hain...!<
+
Aise mein mohabat K rogi...!<
+
Yadun K charagh jalatey hein...!<
+
=>Kertey hain mohabat sab hi mager...!<
+
Har dil ko sila kab milta hy?...!<
+
Ati hain baharin gulshan mein...!<
+
Her phool mager kab khilta hy?...!<
+
Kertey hain mohabat sab hi mager...!<
+
Her dil ko sila kab milta hy...!<
+
=>Mein ranja na tha tu heer na thi...!<
+
Hum apna payar nibha na skaey...!<
+
yon payar K khowab bohat deikhey...!<
+
Tabeer mager hum paa na sakey...!<
+
Mein ne tu bohat chaha lekin...!<
+
Tun rakh na saki wadun ka bharam...!<
+
Ab reh reh kar yad ata hy...!<
+
jo tu ne kia is dil pe sitam...!<
+
Kertey hain mohabat sb hi mager...!<
+
Her dil ko sila kab milta hy?...!<
+
Perda jo hata dun chehrey se...!<
+
Tujhey log kahain gey harjaie...!<
+
Majboor hun main dil K hathun...!<
+
Manzoor nahin teri ruswaee...!<
+
Soucha hy K apne honthun per...!<
+
Mein chup ki mohar laga lun ga...!<
+
Mein teri sulagti tadun se...!<
+
Ab is dil ko bhehla lun ga...!<
+
Kertey hain mohabat sab hi mager...!<
+
Her dil ko sila kab milta hy...!<
+
==>END<==
KHAKI*G
9:56 PM
Tue 02/07/2012

Adhi raat K sanate main. By Wasi

='="="="="="="='=
PO@T
WASI SHAH
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Adhi raat K sanate main...!<
+
Kisi ne phone kiya hy muj ko?...!<
+
Jane kis ka phone aya hy?...!<
+
Phone utha kar yon lagta hy...!<
+
Us janab koi gum sum gum sum akhra akhra...!<
+
Dhere dhere kanap raha hy...!<
+
Mehki hoi ek khamoshi hy...!<
+
Gup khamoshi...!<
+
Lekan is khamoshi main B...!<
+
gonj rahe hain...!<
+
Thandi sansain barish ansoo...!<
+
Khamoshi se thak kar us ne sans liya to...!<
+
Chori khanki...!<
+
Uff ye khan khan...!<
+
Ek lamhe main sare badan main phel gi hy...!<
+
Tere ilwa koi nai hy...!<
+
Lekan itne barson bad?...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Tue 19/03/13

Achha tha agr zakhm na bharte kuch din aur By FARAZ

='="="="="="="='=
PO@T
Ahmed Faraz
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Acha tha agr zakhm na bharte kuch din aur...!<
+
Us koo-e-mlamt main guzrte kuch din aur...!<
+
Raaton ko teri yadon K khursheed ubharte...!<
+
Aankhon mein sitare se utarte kuch din aur...!<
+
Hm ne tujhe dekha to kisi ko B na dekha...!<
+
Ay kaash tere baad guzrte kuch din aur...!<
+
Rahat thi boht ranj mein ham gham talbon ko...!<
+
Tum aur bigarte to sanvrte kuch din aur...!<
+
Go tark-e-ta'aluq tha magar jaa'n pe B thi...!<
+
Marte jo tujhe yaad na krte kuch din aur...!<
+
Us shehr-e-tamana se *FARAZ* Aae hi Q the?...!<
+
Ye haal tha to tehrte kuch din aur...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Tue 19/03/13

Abr-e-baraan k irady B pur'israr se hain

='="="="="="="='=
._.-._.BARISH._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Abr-e-baraan k irady B pur'israr se hain...!<
+
Aaj barse gi ghta khul K ye aasaar se hain...!<
+
Log atay hain thehrty hain chale jate hain...!<
+
Apne halaat B ujray howe bazar se hain...!<
+
Wo agar chahay to de sharf-e-mulaqat mujhe...!<
+
Sab umeeden meri wabsta mery yaar se hain...!<
+
Ye zruri to nahi jeet musarrat bakhshay...!<
+
Aisi khushian B hain milti jo sirf haar se hain...!<
+
Sar ba'kuf ho K tere koochy ko chal nikla hun...!<
+
Azm to pakkay,mgr rastay dushwar se hain...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Mon 18/03/13

Abr-e-bahaar ne By Parveen Shakir

='="="="="="="='=
Po@t
Parveen Shakir
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Abr-e-bahaar ne,..!<
^.
Phool ka chehra,..!<
^.
Aane banafshi haath main lekar,..!<
^.
Aisa chuma,..!<
^.
Phool ke saare dukh,..!<
^.
Khushbu ban kar bah nikle han,..!<
^.
==>END<==
KHAKI.G
Mon 18/03/13

Sunday 17 March 2013

Daraig amdam zaan hama bostan (Zauq-o-Shauq) By IQBAL

PO@T
Sir Dr Allama IQBAL
='="="="="="="='=
._.Zauq-o-Shauq._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Daraig amdam zaan hama bostan...!<
+
Tahi dast raftan suay dostan...!<
+
Qalb-o-nazar ki zindagi dast mein subah ka saman...!<
+
Chasma'ay aftab se noor ki nadiyan rawan...!<
+
Husn-e-azal ki hy namood, chaak hy parda-e-wajood...!<
+
Dil K liye hazar sood, aik nigah ka ziyan...!<
+
Surkh-o-kabud badaliyan chor gaya sihab-e-shab...!<
+
Koh-e-idm ko de gaya rang barang teelsiyan...!<
+
Gard se pak hy hawa, barg-e-nakheel dhul gaye...!<
+
Raig-e-nawah-e-kazimah naram hy misl-e-parniyan...!<
+
Aag bujhi hui edhar, tuti hui tanab udhar...!<
+
Kya khabar is maqam se guzaray hain kitne karwan?...!<
+
Ayi sada-e-Jibreel, tera maqam hy yehi...!<
+
Ahl-e-faraak K liye ayesh-e-dawam hy yehi...!<
+
Kis se kahon K zehar hy mere liye may'ay hiyat?...!<
+
Kuhna hy bazm-e-kainat, taza hain mere wardaat...!<
+
Kiya nahin aur Ghaznavi kargah-e-hiyat mein?...!<
+
Baithe hain kab se muntazir ahl-e-harm K soumanaat...!<
+
Zikr-e-arab K souz mein, fikr-e-ajam K saaz mein...!<
+
Nay arabi mushahidaat, Nay ajami takhayulaat...!<
+
Kafla-e-hijaz mein aik hussain(R.A.) B nahin...!<
+
Garcha hy tabdaar abhi gaisu-e-dajla-o-firat...!<
+
Aqal-o-dil-o-nigah ka murshid-e-awaleen hy ishq...!<
+
Ishq na ho to sharaa-o-deen, bot'khudda-e-Tasawwarat...!<
+
Sidq-e-Khalil(A.S.) B hy ishq, sabr-e-Hussain(R.A.) Bb hy ishq...!<
+
Maarka-e-wajood mein badar-o-hunain B hy ishq...!<
+
Aaya-e-kainat ka ma'ani-e-deryaab tu...!<
+
Nikle teri talash mein kafla ha'ay rang-o-bu...!<
+
Jalwatiyan-e-madrasah kour nigah-o-murda zauq...!<
+
Khalwatiyan may'kuda kam talab-o-tahi kadu...!<
+
Main K meri ghazal mein hain Aatish-e-rafta ka suragh...!<
+
Meri tamam sarguzhast, khuay huwon ki justajoo...!<
+
Baad-e-saba ki mouj se nashonuma'ay khar-o-khs...!<
+
Mere nafs ki mouj se nashonumaa-e-arzoo...!<
+
Khoon-e-dil-o-jigar se hy meri nawa ki parwarish...!<
+
Hy rag-e-saaz mein rawan sahib-e-saaz ka lahoo...!<
+
Fursat-e-kashmakash madah'ayen dil-e-beqarar Ra...!<
+
Yak do shikan ziada kun ghaisu-e-tabdaar ra...!<
+
Loh B Tu Qalam B Tu, Tera wajood Al'Kitab...!<
+
Gunbad-e-abgina rang tere muheet mein habab...!<
+
Alim-e-Aab-o-khak mein tere zahoor se faroug...!<
+
Zarra-e-raig ko diya tu ne tulu-e-aftab...!<
+
Shoukat-e-sanjar-o-saleem tere jalal ki namood...!<
+
Faqr-e-Junaid(R.A.)-o-Bayazeed(R.A.), tera jamal-e-be'naqab...!<
+
Shauq tera agar na ho meri namaz ka imam...!<
+
Mera Qiyam B hijab, mera sajood B hijab...!<
+
Teri nigah-e-naaz se dono murad pa gaye...!<
+
Aqal ghiyab-o-justajoo, ishq huzoor-o-iztarab...!<
+
Teerah-o-taar hy jahan gardish-e-aftab se...!<
+
Taba-e-zamana taza kar jalwa-e-behijab se...!<
+
Teri nazar mein hain tamam mere guzishta roz-o-shab...!<
+
Mujh ko khabar na thi K hy ilm-e-nakheel-e-be'rutab...!<
+
Taza mere zameer mein ma'arka-e-kuhan huwa...!<
+
Ishq tamam Mustafavi (S.A.W.), aqal tamam bu'lahab...!<
+
Gah bahila mee burad, gah bazor mee kusah...!<
+
Ishq ki ibtada ajab, ishq ki intaha ajab...!<
+
Alim-e-souz-o-saaz mein wasal se barh K hy firaaq...!<
+
Wasal mein marg-e-arzoo, hijar mein lazzat-e-talab...!<
+
Ayen-e-wisal mein mujhay hosla-e-nazar na tha...!<
+
Gharcha bahana joo rahi meri nigah-e-be'adab...!<
+
Garmi-e-arzoo firaaq, shorish-e-ha'ay-o-hu firaaq...!<
+
Mouj ki justajoo firaaq, Qatre ki abroo firaaq...!<
+
(In asha'ar mein se aksar falestine mein likhe gaye)
+
==>END<==
KHAKI.G
05:00 pm
Sun 17/03/13

Saturday 16 March 2013

Abr-e-bahaar ab K B barsa pare pare FARAZ

='="="="="="="='=
PO@T
Ahmed Faraz
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Abr-e-bahaar ab K B barsa pare pare...!<
+
Gulshan ujaar ujaar hain, jangal hare hare...!<
+
Jane ye tishnagi hy havas hy K khudkushi?...!<
+
Jalte hain shaam hi se jo saagar bhare bhare...!<
+
Hy dil ki maut ahd-e-wafa ki shikastagi...!<
+
Phir B jo koi tark-e-muhabbat kare kare...!<
+
Ab apna dil B shehar-e-khamoshan se kam nahi...!<
+
Sun ho gaye hain kaan sada par dhare dhare...!<
+
Rahte hain ahl-e-shahar K saye se door door...!<
+
Ham ahwan-e-dasht ki surat, dare dare...!<
+
Gul ban k phut'ta hy lahoo shaakh'sar se...!<
+
Zakhm-e-rag-e-bahar hain patte hare hare...!<
+
Zinda'dilaan-e-shahr ko kya ho gaya "_"Faraz"_"...!<
+
Ankhen bujhi bujhi hain to chehre mare mare...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Sat 15/03/13

Chahat main sambhlne ka karina to sikha do

='="="="="="="='=
._.-._.ZAKHAM._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Chahat main sambhlne ka karina to sikha do...!<
+
Mushkil main bohat hun zara jeena to sikha do...!<
+
Q chand se chehre pe be'sakoni ki fiza hy...!<
+
Ankhoon main chupi pyaas ko peena to sikha do...!<
+
Main sham dhalay aoon darwazay ko khula rakhna...!<
+
Dahleez pe B shama ko pighalna to sikha do...!<
+
Zakhmoon pe marham rakh K kuch der to behlao...!<
+
Aur daman main howay chhedo'n ko sena to sikha do...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Sat 16/03/13

Monday 11 March 2013

Aahat si hui thi na koi barg hila tha By Mohsin

='="="="="="="='=
POET
MOHSIN NAQVI
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Aahat si hui thi na koi barg hila tha...!<
+
Main khud hi sar-e-mehfil-e-shab cheekh para tha...!<
+
Lamhon ki fasilen B mere gird khari thi'n...!<
+
Main phir B tujhe sheher main awaara laga tha...!<
+
Tune jo pukara hy to bol utha hun, warna...!<
+
Main fikr ki dehleez pey chup chaap khara tha...!<
+
Phaili thi bhare sheher main tanhai ki baaten...!<
+
Shayed koi deewar ke peche B khara tha...!<
+
Ab is K siwa yaad nahin jashn-e-mulaaqat...!<
+
Ik maatmi jugnu meri palkon pe saja tha...!<
+
Ya barish-e-sang ab K musalsal na hui thi...!<
+
Ya phir main tere sheher ki raah bhool gaya tha...!<
+
Ik jalwa-e-mehboob se roshan tha mera zehen...!<
+
Wajdan yeh kehta hy wahi mera KHUDA tha...!<
+
Viran na ho is darja koi mousam-e-gull B...!<
+
Kehte hain kisi shakh pe ik phool khila tha...!<
+
Ik tu K gureza'n hi raha mujh se beher tor...!<
+
Ik main K tere naqsh-e-kadam choom raha tha...!<
+
Dekha na kisi ne B meri simat palat ker...!<
+
Mohsin main bikhre huwe sheeshon ki sada tha...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
03:45 pm
Mon 11/03/13

Friday 1 March 2013

Abhi to mosm-e-gul hy

='="="="="="="='=
._.-._.WAQAT._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Abhi to mosm-e-gul hy...!<
+
Abhi rangon mein shokhi hy...!<
+
Abhi ho chand chehra tum...!<
+
Abhi pur noor jalwa tum...!<
+
Abhi qaos-e-qza ho tum...!<
+
Abhi bad-e-sba ho tum...!<
+
Har ik dil ki ada ho tum...!<
+
Abhi lehje mein narmi hy...!<
+
Abhi sancon mein garmi hy...!<
+
Abhi hain din jwani K...!<
+
Abhi paryon ki rani tum...!<
+
Abhi chandi C rangat hy...!<
+
Abhi zulfein hain resham C...!<
+
Abhi gaalon pe laali hy...!<
+
Abhi kano'n mein baali hy...!<
+
Abhi honton pe surkhi hy...!<
+
Abhi kuch B ni bdla...!<
+
Abhi to sb tumharay hain...!<
+
Mager...!<
+
Jab mosam ye bdlay ga...!<
+
Bdal jayga har koi...!<
+
Main us rut mein B aey jana'n...!<
+
Tumhi ko sirf chahon ga...!<
+
Tumhi ko sirf chahon ga...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Fri 01/03/13

Hawa se dosti rakhon to ghar roshan nahi rehte

='="="="="="="='=
._.-._.DOSTI._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Hawa se dosti rakhon to ghar roshan nahi rehta...!<
+
Chhatton ko dekh lun to yaad phir sawan nahi rehta...!<
+
Gharibon ki ye basti hy, kahan se shokhian laoon?...!<
+
Yahan bachay to rehtay hain, magar bachpan nahi rehta...!<
+
Jo tera mera rishta hy, faqat dil ki kahani hy...!<
+
Jahan per kachay dhagay hon, wahan bandhan nahi rehta...!<
+
Yahan to kuch B mumkin hy, K ye raah-e-muhabbat hy...!<
+
Wahan B jeena parta hy jahan jeewan nahi rehta...!<
+
Yahan kis kis se uljho gay, kaha na raah-e-ulfat hy...!<
+
Yehan kanton ne rehna hy, yehan daman nahi rehta...!<
+
Khalish anjaan ho to tere gham se jor deta hun...!<
+
Koi ibhaam aise main pas-e-uljhan nahi rehta...!<
+
Yehan shajar ik tha, kisi ki yaad thi us main...!<
+
Agar wo ab B hota soona ye Aangan nahi rehta...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Fri 01/03/13

Ghar se soch kar nikla hun K mar jana hy

='="="="="="="='=
._.-._.RAAH._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Ghar se soch kar nikla hun K mar jana hy...!<
+
Ab koi raah dikha de K kidhar jana hy?...!<
+
Jisam se sath nibhane ki mat umeed rakho...!<
+
Is musafir ko tu rasty main thehar jana hy...!<
+
Maut lamhe ki sada zindagi umaron ki pukaar...!<
+
Main yehi soch kar zinda hun K mar jana hy...!<
+
Nasha aesa tha K maikhane ko duniya samjha...!<
+
Hosh Aaya tu khayal aaya K ghar jana hy...!<
+
Mere jazbon ki bari Qadar hy logon main magar...!<
+
Mere jazbe ko mere sath hi mar jana hy...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Fri 01/03/13

Mitti K Ghar

='="="="="="="='=
._.Mitti K Ghar._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Matti k jitne ghar main banata chala gaya...!<
+
Ik shaks khafa ho K girata chala gaya...!<
+
Wo mujse buhat door door bhagta raha...!<
+
Jitna main us K naaz uthata chala gaya...!<
+
Ik mere waste hi us ne dard rakhe the...!<
+
Baki to wo har ik ko hasata chala gaya...!<
+
Thi haath main taqat magar dil nahin mana...!<
+
Us K siwa main sub ko harata chala gaya...!<
+
Dil main uski yaad K jitne chiragh they...!<
+
Un ko B wo sitmgar bhujata chala gaya...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Fri 01/03/13